Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin, Urdu Ghazal By Darshan Singh

Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Darshan Singh. Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قید غم حیات سے اہل جہاں مفر نہیں

درشن سنگھ

قید غم حیات سے اہل جہاں مفر نہیں

ایسی ملی ہے شام غم جس کی کوئی سحر نہیں

ہے وہ سفر جو عشق کو جانب دوست لے چلے

ورنہ سفر کے واسطے کون سی رہ گزر نہیں

اہل خرد کو چاہیے دل کے نگر میں آ بسیں

دل سا حسین و خوش نما اور کوئی نگر نہیں

تیرے کرم پہ ہے یقیں گرچہ یہ جانتا ہوں میں

نالہ ہے میرا نارسا آہ میں کچھ اثر نہیں

حسرت انتظار کی بات نہ ہم سے پوچھئے

ہے یہ طویل داستاں قصۂ مختصر نہیں

لٹ تو گئے ہیں دل مگر مل بھی گئی ہیں منزلیں

رہ گزر حیات میں عشق سا راہبر نہیں

اپنا رہا نہ ہوش جب راز حیات پا لیا

نعمت بے خودی سمجھ ہوش کا یہ ثمر نہیں

عشق متاع لا مکاں عشق متاع جاوداں

شعلۂ دائمی ہے یہ منظر یک شرر نہیں

درشنؔ مست سے ملیں کھولے گا راز آگہی

گرچہ وہاں ہے جس جگہ اپنی اسے خبر نہیں

درشن سنگھ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin

Darshan Singh

qaid-e-gham-e-hayat se ahl-e-jahan mafar nahin
aisi mili hai sham-e-gham jis ki koi sahar nahin

hai wo safar jo ishq ko jaanib dost le chale
warna safar ke waste kaun si rahguzar nahin

ahl-e-KHirad ko chahiye dil ke nagar mein aa basen
dil sa hasin-o-KHush-numa aur koi nagar nahin

tere karam pe hai yaqin garche ye jaanta hun main
nala hai mera na-rasa aah mein kuchh asar nahin

hasrat-e-intizar ki baat na hum se puchhiye
hai ye tawil dastan qissa-e-muKHtasar nahin

luT to gae hain dil magar mil bhi gai hain manzilen
rahguzar-e-hayat mein ishq sa rahbar nahin

apna raha na hosh jab raaz-e-hayat pa liya
nemat-e-be-KHudi samajh hosh ka ye samar nahin

ishq mata-e-la-makan ishq mata-e-jawedan
shoala-e-daemi hai ye manzar-e-yak-sharar nahin

'darshan'-e-mast se milen kholega raaz-e-agahi
garche wahan hai jis jagah apni use KHabar nahin

(705) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin written by Darshan Singh at UrduPoint. Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin is one of the masterpieces written by Darshan Singh. You can also find the complete poetry collection of Darshan Singh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Darshan Singh' above.

Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qaid-e-gham-e-hayat Se Ahl-e-jahan Mafar Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.