Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata, Urdu Ghazal By Faisal Nadeem Faisal

Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faisal Nadeem Faisal. Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ سلیقے سے اگر چاک گھمایا جاتا

فیصل ندیم فیصل

کچھ سلیقے سے اگر چاک گھمایا جاتا

عین ممکن ہے کہ شہکار بنایا جاتا

جانے والے نے غلط فہمی میں لوٹ آنا تھا

بے خیالی میں بھی گر ہاتھ ہلایا جاتا

عشق منصور کو خود دار تلک لے آیا

اس سے پہلے کہ کوئی حشر اٹھایا جاتا

لوٹنے والا اسی سوچ میں مر جائے گا

کاش زنجیر کو دو بار ہلایا جاتا

رنگ بھرنے میں مصور نے ریا کاری کی

ورنہ تصویر کو مندر میں لگایا جاتا

اس میں وحشت ہے اذیت ہے زبوں حالی ہے

اب یہ کردار نہیں مجھ سے نبھایا جاتا

آپ تو شکل سے لگتے ہیں اداکار مجھے

آپ جیسوں کو نہیں دوست بنایا جاتا

اولیں خط کو جلا کر وہ گنہ گار ہوا

کاش تعظیم سے دریا میں بہایا جاتا

میں نے بدلی ہیں روایات پرانی ورنہ

میں بھی فیصلؔ کسی پٹری سے اٹھایا جاتا

فیصل ندیم فیصل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata

Faisal Nadeem Faisal

kuchh saliqe se agar chaak ghumaya jata
ain mumkin hai ki shahkar banaya jata

jaane wale ne ghalat fahmi mein lauT aana tha
be-KHayali mein bhi gar hath hilaya jata

ishq mansur ko KHud dar talak le aaya
is se pahle ki koi hashr uThaya jata

lauTne wala isi soch mein mar jaega
kash zanjir ko do bar hilaya jata

rang bharne mein musawwir ne riya-kari ki
warna taswir ko mandir mein lagaya jata

is mein wahshat hai aziyyat hai zabun-haali hai
ab ye kirdar nahin mujh se nibhaya jata

aap to shakl se lagte hain adakar mujhe
aap jaison ko nahin dost banaya jata

awwalin KHat ko jala kar wo gunahgar hua
kash tazim se dariya mein bahaya jata

main ne badli hain riwayat purani warna
main bhi 'faisal' kisi paTri se uThaya jata

(793) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata written by Faisal Nadeem Faisal at UrduPoint. Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata is one of the masterpieces written by Faisal Nadeem Faisal. You can also find the complete poetry collection of Faisal Nadeem Faisal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faisal Nadeem Faisal' above.

Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Saliqe Se Agar Chaak Ghumaya Jata, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.