Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai, Urdu Ghazal By Farasat Rizwi

Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Farasat Rizwi. Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سرد ہوا ہے نوحہ گر رات بہت گزر گئی

فراست رضوی

سرد ہوا ہے نوحہ گر رات بہت گزر گئی

غور سے دیکھ چشم تر رات بہت گزر گئی

نیند میں گم ہیں دشت و باغ بجھ گئے شہر کے چراغ

ایسے میں جاؤں میں کدھر رات بہت گزر گئی

اب تو سمٹ رہے ہیں سائے لوٹ کے وہ جواں نہ آئے

دل میں عجیب سا ہے ڈر رات بہت گزر گئی

گونج رہی ہے دور تک اپنے ہی قدموں کی صدا

سونی پڑی ہے رہ گزر رات بہت گزر گئی

جشن طرب ہوا تمام کشتہ چراغ و ساز و جام

بکھرے پڑے ہیں فرش پر رات بہت گزر گئی

محفل دوستاں سے کب اٹھنے کو چاہتا ہے دل

سوچ رہا ہوں جاؤں گھر رات بہت گزر گئی

جاگا نہ ایک شخص بھی میری نوائے درد سے

نالے گئے ہیں بے اثر رات بہت گزر گئی

دل میں مرے اتر گئی صحن مکاں کی تیرگی

بجھ گئی شمع طاق پر رات بہت گزر گئی

خوف کے سائے چار سو اے مرے یار ماہ رو

آج یہیں قیام کر رات بہت گزر گئی

سو گئے گھر کے سب مکیں پر مرے انتظار میں

جاگ رہے ہیں بام و در رات بہت گزر گئی

گھر کی منڈیر سے گئی چاند کی زرد روشنی

دور نہیں ہے اب سحر رات بہت گزر گئی

فراست رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai

Farasat Rizwi

sard hawa hai nauhagar raat bahut guzar gai
ghaur se dekh chashm-e-tar raat bahut guzar gai

nind mein gum hain dasht-o-bagh bujh gae shahr ke charagh
aise mein jaun main kidhar raat bahut guzar gai

ab to simaT rahe hain sae lauT ke wo jawan na aae
dil mein ajib sa hai Dar raat bahut guzar gai

gunj rahi hai dur tak apne hi qadmon ki sada
suni paDi hai rahguzar raat bahut guzar gai

jashn-e-tarab hua tamam kushta-charagh-o-saz-o-jam
bikhre paDe hain farsh par raat bahut guzar gai

mahfil-e-dostan se kab uThne ko chahta hai dil
soch raha hun jaun ghar raat bahut guzar gai

jaga na ek shaKHs bhi meri nawa-e-dard se
nale gae hain be-asar raat bahut guzar gai

dil mein mere utar gai sahn-e-makan ki tirgi
bujh gai shama taq par raat bahut guzar gai

KHauf ke sae chaar-su ai mere yar mah-ru
aaj yahin qayam kar raat bahut guzar gai

so gae ghar ke sab makin par mere intizar mein
jag rahe hain baam-o-dar raat bahut guzar gai

ghar ki munDer se gai chand ki zard raushni
dur nahin hai ab sahar raat bahut guzar gai

(730) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai written by Farasat Rizwi at UrduPoint. Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai is one of the masterpieces written by Farasat Rizwi. You can also find the complete poetry collection of Farasat Rizwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Farasat Rizwi' above.

Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sard Hawa Hai Nauhagar Raat Bahut Guzar Gai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.