Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin, Urdu Ghazal By Ghulam Nabi Nazir

Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghulam Nabi Nazir. Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ اپنے ضرب لمس سے ناآشنا نہیں

غلام نبی ناظر

وہ اپنے ضرب لمس سے ناآشنا نہیں

کس نے کہا کہ زخم یہ صبر آزما نہیں

اچھا ہوا کہ ہم ہیں حصار خیال میں

اپنے وطن کا اور کوئی راستہ نہیں

آئینہ ساتھ رکھ کے چلوں پونچھ کر جبین

تصویر اب بھی اپنی کوئی دیکھتا نہیں

صحرائے ہوش میں بھی کئی بار گم ہوئے

رہرو تھے راہزن تھے کسی کو پتہ نہیں

تاریکیوں کے سائے بھی کتنے مہیب ہیں

ہم کو طلوع مہر کا کوئی گلہ نہیں

گھیرا ہے تیری روح کی آواز نے مجھے

ہوں دشت خامشی میں رہا حوصلہ نہیں

چنگاریاں ہیں روشنی ہے کاروان ہے

یہ وقت جبکہ رات ہے اتنا برا نہیں

شعلہ رخان وقت کی آتش مزاجیاں

رنگینیوں کی اب بھی کوئی انتہا نہیں

یادوں کی روشنی میں تصور ہے گامزن

ناظرؔ ہمارے ساتھ کوئی دوسرا نہیں

غلام نبی ناظر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin

Ghulam Nabi Nazir

wo apne zarb-e-lams se na-ashna nahin
kis ne kaha ki zaKHm ye sabr-azma nahin

achchha hua ki hum hain hisar-e-KHayal mein
apne watan ka aur koi rasta nahin

aaina sath rakh ke chalun ponchh kar jabin
taswir ab bhi apni koi dekhta nahin

sahra-e-hosh mein bhi kai bar gum hue
rahraw the rahzan the kisi ko pata nahin

tarikiyon ke sae bhi kitne muhib hain
hum ko tulu-e-mehr ka koi gila nahin

ghera hai teri ruh ki aawaz ne mujhe
hun dasht-e-KHamushi mein raha hausla nahin

chingariyan hain raushni hai karwan hai
ye waqt jabki raat hai utna bura nahin

shoala-ruKHan-e-waqt ki aatish-mizajiyan
ranginiyon ki ab bhi koi intiha nahin

yaadon ki raushni mein tasawwur hai gamzan
'nazir' hamare sath koi dusra nahin

(456) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin written by Ghulam Nabi Nazir at UrduPoint. Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin is one of the masterpieces written by Ghulam Nabi Nazir. You can also find the complete poetry collection of Ghulam Nabi Nazir by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghulam Nabi Nazir' above.

Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Apne Zarb-e-lams Se Na-ashna Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.