Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai, Urdu Ghazal By Haidar Qureshi

Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Haidar Qureshi. Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فصل غم کی جب نوخیزی ہو جاتی ہے

حیدر قریشی

فصل غم کی جب نوخیزی ہو جاتی ہے

درد کی موجوں میں بھی تیزی ہو جاتی ہے

پانی میں بھی چاند ستارے اگ آتے ہیں

آنکھ سے دل تک وہ زرخیزی ہو جاتی ہے

اندر کے جنگل سے آ جاتی ہیں یادیں

اور فضا میں صندل بیزی ہو جاتی ہے

خوشیاں غم میں بالکل گھل مل سی جاتی ہیں

اور نشاط میں غم انگیزی ہو جاتی ہے

شیریں سے لہجے میں بھر جاتی ہے تلخی

حیلہ جوئی جب پرویزی ہو جاتی ہے

بے حد پاور جس کو بھی مل جائے اس کی

طرز یزیدی یا چنگیزی ہو جاتی ہے

غزلوں میں ویسے تو سچ کہتا ہوں لیکن

کچھ نہ کچھ تو رنگ آمیزی ہو جاتی ہے

حسن تمہارا تو ہے سچ اور خیر سراپا

ہم سے ہی بس شر انگیزی ہو جاتی ہے

ظاہر کا پردہ ہٹنے والی منزل پر

سالک سے بھی بد پرہیزی ہو جاتی ہے

رومیؔ کو حیدرؔ جب بھی پڑھنے لگتا ہوں

باطن کی دنیا تبریزی ہو جاتی ہے

حیدر قریشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai

Haidar Qureshi

fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai
dard ki maujon mein bhi tezi ho jati hai

pani mein bhi chand sitare ug aate hain
aankh se dil tak wo zarKHezi ho jati hai

andar ke jangal se aa jati hain yaaden
aur faza mein sandal-bezi ho jati hai

KHushiyan gham mein bilkul ghul-mil si jati hain
aur nashat mein gham-angezi ho jati hai

shirin se lahje mein bhar jati hai talKHi
hila-jui jab parwezi ho jati hai

be-had power jis ko bhi mil jae us ki
tarz yazidi ya changezi ho jati hai

ghazlon mein waise to sach kahta hun lekin
kuchh na kuchh to rang-amezi ho jati hai

husn tumhaara to hai sach aur KHair sarapa
hum se hi bas shar-angezi ho jati hai

zahir ka parda haTne wali manzil par
salik se bhi bad-parhezi ho jati hai

'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagta hun
baatin ki duniya tabrezi ho jati hai

(677) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai written by Haidar Qureshi at UrduPoint. Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai is one of the masterpieces written by Haidar Qureshi. You can also find the complete poetry collection of Haidar Qureshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Haidar Qureshi' above.

Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fasl-e-gham Ki Jab Nau-KHezi Ho Jati Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.