KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega, Urdu Ghazal By Hasan Rahber

KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hasan Rahber. KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب شب پر کیف کی تعبیر تو دے گا

حسن رہبر

خواب شب پر کیف کی تعبیر تو دے گا

کچھ اور نہیں اپنی وہ تصویر تو دے گا

جاتے ہوئے یک بار پلٹ کر مری جانب

وہ میری ملاقات کو توقیر تو دے گا

انگڑائیوں کے ساتھ وہ گیسو کا نظارہ

زلفوں کی مرے پاؤں میں زنجیر تو دے گا

مقصود اسے قتل ہے تو دیکھنا اک دن

ہاتھوں میں مرے دوست کے شمشیر تو دے گا

کھو جائے نہ ظلمت میں کہیں زیست یہ میری

وہ راہ وفا میں مجھے تنویر تو دے گا

انکار محبت پہ بھی رہبرؔ کو یقیں ہے

وہ ان کہی ہر بات کی تفسیر تو دے گا

حسن رہبر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega

Hasan Rahber

KHwab-e-shab-e-pur-kaif ki tabir to dega
kuchh aur nahin apni wo taswir to dega

jate hue yak bar palaT kar meri jaanib
wo meri mulaqat ko tauqir to dega

angDaiyon ke sath wo gesu ka nazara
zulfon ki mere panw mein zanjir to dega

maqsud use qatl hai to dekhna ek din
hathon mein mere dost ke shamshir to dega

kho jae na zulmat mein kahin zist ye meri
wo rah-e-wafa mein mujhe tanwir to dega

inkar-e-mohabbat pe bhi 'rahbar' ko yaqin hai
wo an-kahi har baat ki tafsir to dega

(785) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega written by Hasan Rahber at UrduPoint. KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega is one of the masterpieces written by Hasan Rahber. You can also find the complete poetry collection of Hasan Rahber by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hasan Rahber' above.

KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab-e-shab-e-pur-kaif Ki Tabir To Dega, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.