Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae, Urdu Ghazal By Hazin Ludhianvi

Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hazin Ludhianvi. Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس کا نہیں ہے غم کوئی، جاں سے اگر گزر گئے

حزیں لدھیانوی

اس کا نہیں ہے غم کوئی، جاں سے اگر گزر گئے

دکھ کی اندھیری رات میں ہم بھی چراغ دھر گئے

شان و شکوہ کیا ہوئے، قیصر و جم کدھر گئے

تخت الٹ الٹ گئے، تاج بکھر بکھر گئے

فکر معاش نے سبھی جذبوں کو سرد کر دیا

سڑکوں پہ دن گزر گیا ہو کے نڈھال گھر گئے

لپٹے رہے تمام رات پھول کی پتیوں کے ساتھ

دھوپ پڑی جو پھول پر قطرے فرار کر گئے

تندیٔ سیل وقت میں یہ بھی ہے کوئی زندگی

صبح ہوئی تو جی اٹھے، رات ہوئی تو مر گئے

گرد سفر میں کھو گئے، ایسے ہزاروں راہرو

راہ میں جو ٹھہر گئے، آندھیوں سے جو ڈر گئے

پھر بھی کسی رئیس کے دل کی طرح ہے چشم تنگ

آپ پھرے ہیں ملک ملک آپ نگر نگر گئے

کھل کے رہیں گے دیکھنا چار سو روشنی کے پھول

رات کے دشت کی طرف نقش گر سحر گئے

خاک میں تیری مل گئی فیضؔ کے جسم کی ضیا

اب تو دیار مہوشاں قرض تمام اتر گئے

حزیں لدھیانوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae

Hazin Ludhianvi

is ka nahin hai gham koi, jaan se agar guzar gae
dukh ki andheri raat mein hum bhi charagh dhar gae

shan-o-shikoh kya hue, qaisar-o-jam kidhar gae
taKHt ulaT ulaT gae, taj bikhar bikhar gae

fikr-e-maash ne sabhi jazbon ko sard kar diya
saDkon pe din guzar gaya ho ke niDhaal ghar gae

lipTe rahe tamam raat phul ki pattiyon ke sath
dhup paDi jo phul par qatre farar kar gae

tundi-e-sail-e-waqt mein ye bhi hai koi zindagi
subh hui to ji uThe, raat hui to mar gae

gard-e-safar mein kho gae, aise hazaron rah-rau
rah mein jo Thahar gae, aandhiyon se jo Dar gae

phir bhi kisi rais ke dil ki tarah hai chashm tang
aap phire hain mulk mulk aap nagar nagar gae

khil ke rahenge dekhna chaar-su raushni ke phul
raat ke dasht ki taraf naqsh-gar-e-sahar gae

KHak mein teri mil gai 'faiz' ke jism ki ziya
ab to dayar-e-mahwashan qarz tamam utar gae

(877) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae written by Hazin Ludhianvi at UrduPoint. Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae is one of the masterpieces written by Hazin Ludhianvi. You can also find the complete poetry collection of Hazin Ludhianvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hazin Ludhianvi' above.

Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Ka Nahin Hai Gham Koi, Jaan Se Agar Guzar Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.