Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain, Urdu Ghazal By Irfan Abidi Mantvi

Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Irfan Abidi Mantvi. Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمارے گاؤں کی باتیں نرالی ہی نرالی ہیں

عرفان عابدی مانٹوی

ہمارے گاؤں کی باتیں نرالی ہی نرالی ہیں

کہیں ٹکر نہیں اس کا سکونت میں سہولت میں

نہ سر پہ چھت کا سایہ ہے نہ کھانے کو کوئی روٹی

کوئی انساں نہیں دکھتا حقیقت میں فضیلت میں

ہوئے ہیں فیصلے جھوٹے رہے وعدے ادھورے سے

بہت بدلاؤ دیکھا ہے عدالت میں سیاست میں

فقط دو وقت ہے ایسا جہاں ماں رو کے کہتی ہے

مرا بیٹا رہے محفوظ ہجرت میں مصیبت میں

کبھی مزدور سے پوچھو تمہارا حال کیسا ہے

کہے گا رہ گیا ہوں بس تھکاوٹ میں تو غربت میں

بدن پر قیمتی کپڑے سواری بادشاہوں سی

بہت مغرور صاحب ہیں ریاست میں حکومت میں

شرابی کو کہو مومن صحابی کو کہو کافر

نہیں ہے فرق کوئی کیا نجاست میں طہارت میں

مرے والد کی کمزوری بتاتی اک حقیقت ہے

گزر جاتی ہے ساری عمر محنت میں مشقت میں

جسے اپنے برادر کی خبر گیری نہیں آتی

نہ لکھنا نام ان کا رب اخوت میں عطوفت میں

ابھی تو مافیاؤں کے مظالم ہی برستے تھے

حکومت کیوں معاون بن گئی وحشت میں دہشت میں

کوئی ثانی نہیں عرفانؔ کے حیدر کا دنیا میں

فصاحت میں بلاغت میں کتابت میں خطابت میں

عرفان عابدی مانٹوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain

Irfan Abidi Mantvi

hamare ganw ki baaten nirali hi nirali hain
kahin Takkar nahin us ka sukunat mein suhulat mein

na sar pe chhat ka saya hai na khane ko koi roTi
koi insan nahin dikhta haqiqat mein fazilat mein

hue hain faisle jhuTe rahe wade adhure se
bahut badlaw dekha hai adalat mein siyasat mein

faqat do waqt hai aisa jahan man ro ke kahti hai
mera beTa rahe mahfuz hijrat mein musibat mein

kabhi mazdur se puchho tumhaara haal kaisa hai
kahega rah gaya hun bas thakawaT mein to ghurbat mein

badan par qimti kapDe sawari baadshahon si
bahut maghrur sahab hain riyasat mein hukumat mein

sharabi ko kaho momin sahabi ko kaho kafir
nahin hai farq koi kya najasat mein tahaarat mein

mere walid ki kamzori batati ek haqiqat hai
guzar jati hai sari umr mehnat mein mashaqqat mein

jise apne baradar ki KHabar-giri nahin aati
na likhna nam un ka rab uKHuwwat mein atufat mein

abhi to mafiyaon ke mazalim hi baraste the
hukumat kyun muawin ban gai wahshat mein dahshat mein

koi sani nahin 'irfan' ke haidar ka duniya mein
fasahat mein balaghat mein kitabat mein KHitabat mein

(671) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain written by Irfan Abidi Mantvi at UrduPoint. Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain is one of the masterpieces written by Irfan Abidi Mantvi. You can also find the complete poetry collection of Irfan Abidi Mantvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Irfan Abidi Mantvi' above.

Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamare Ganw Ki Baaten Nirali Hi Nirali Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.