KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein, Urdu Ghazal By Ishaq Virdag

KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ishaq Virdag. KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خواب نے رکھ لیا فسانے میں

اسحاق وردگ

خواب نے رکھ لیا فسانے میں

تم نے تاخیر کی جگانے میں

اس زمیں کو فلک بنانے میں

میں بھی شامل تھا اک زمانے میں

تیرے کردار کو اٹھانے میں

مجھ کو مرنا پڑا فسانے میں

کام کرتے ہیں روز و شب صاحب

ہم محبت کے کارخانے میں

بام و در دشمنوں کے ساتھی تھے

مجھ کو دیوار سے لگانے میں

عشق میں تھوڑی سی سہولت تھی

حضرت قیس کے زمانے میں

دین و دنیا سے جانا پڑتا ہے

دل کو دیوانگی بنانے میں

وقت ہی ہر طرف رکاوٹ ہے

لا مکاں سے مکاں بنانے میں

آگ کے درمیان بیٹھے ہیں

قصہ خوانی کے چائے خانے میں

مکتب عشق میں سبق پڑھنے

لوگ آئیں گے ہر زمانے میں

اسحاق وردگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein

Ishaq Virdag

KHwab ne rakh liya fasane mein
tum ne taKHir ki jagane mein

is zamin ko falak banane mein
main bhi shamil tha ek zamane mein

tere kirdar ko uThane mein
mujh ko marna paDa fasane mein

kaam karte hain roz-o-shab sahab
hum mohabbat ke kar-KHane mein

baam-o-dar dushmanon ke sathi the
mujh ko diwar se lagane mein

ishq mein thoDi si suhulat thi
hazrat-e-qais ke zamane mein

din-o-duniya se jaana paDta hai
dil ko diwangi banane mein

waqt hi har taraf rukawaT hai
la-makan se makan banane mein

aag ke darmiyan baiThe hain
qissa-KHwani ke chae-KHane mein

maktab-e-ishq mein sabaq paDhne
log aaenge har zamane mein

(572) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein written by Ishaq Virdag at UrduPoint. KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein is one of the masterpieces written by Ishaq Virdag. You can also find the complete poetry collection of Ishaq Virdag by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ishaq Virdag' above.

KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHwab Ne Rakh Liya Fasane Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.