Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai, Urdu Ghazal By Ishq Aurangabadi

Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ishq Aurangabadi. Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

صفحے پہ کب چمن کے ہوا سے غبار ہے

عشق اورنگ آبادی

صفحے پہ کب چمن کے ہوا سے غبار ہے

یہ اپنے سر پہ خاک اڑاتی بہار ہے

شبنم کا کچھ نہیں گل نرگس او پر اثر

یہ دیکھ لو بہار کی چشم اشک بار ہے

یہ شاخ گل پہ غنچۂ گل سے بہار کا

یارو دل گرفتہ دیکھو آشکار ہے

ہوتا ہے گل کی طرز سے اظہار اس طرح

یہ پارہ پارہ دامن و جیب بہار ہے

گلشن کے بیچ یہ گل صد برگ نیں ہے زرد

اے عاشقو بہار کا رنگ عذار ہے

گلشن کے بیچ کہتے ہیں یہ جس کو لالہ زار

سو نوبہار کا جگر داغدار ہے

پتھر سے مار مار کے سر روتی ہے بہار

جس کو چمن میں کہتے ہیں یہ آبشار ہے

یہ حال خستہ دیکھ چمن میں بہار کا

حسرت سے میرے دل کے اپر خار خار ہے

گلشن کی طرح سے مجھ رنگیں دلوں کے بیچ

ہے خوش نما وہ جیب کہ جو تار تار ہے

صد چاک گل کا سن کے ہوا جیب پیرہن

یاں تک تو پر اثر سے فغان ہزار ہے

اک بلبل اسیر سے پوچھا میں کس لیے

آنے کا فصل گل کے تجھے انتظار ہے

کہنے لگی وہ عقدۂ خاطر کو کھول کر

گل گل شگفتہ ہوں میں سنوں جو بہار ہے

آنکھوں سے دل کے دید کو مانع نہیں نفس

عاشق کو عین ہجر میں بھی وصل یار ہے

اس شمع رو پہ دل سے تصدق ہے بلکہ عشقؔ

پروانہ وار جان سے ہر دم نثار ہے

عشق اورنگ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai

Ishq Aurangabadi

safhe pe kab chaman ke hawa se ghubar hai
ye apne sar pe KHak uDati bahaar hai

shabnam ka kuchh nahin gul-e-nargis o pur-asar
ye dekh lo bahaar ki chashm ashk-bar hai

ye shaKH-e-gul pe ghuncha-e-gul se bahaar ka
yaro dil-e-girafta dekho aashkar hai

hota hai gul ki tarz se izhaar is tarah
ye para para daman-o-jeb-e-bahaar hai

gulshan ke bich ye gul-e-sad-barg nin hai zard
ai aashiqo bahaar ka rang-e-azar hai

gulshan ke bich kahte hain ye jis ko lala-zar
so nau-bahaar ka jigar dagh-dar hai

patthar se mar mar ke sar roti hai bahaar
jis ko chaman mein kahte hain ye aabshaar hai

ye haal-e-KHasta dekh chaman mein bahaar ka
hasrat se mere dil ke upar KHar KHar hai

gulshan ki tarah se mujh rangin-dilon ke bich
hai KHushnuma wo jeb ki jo tar tar hai

sad-chaak gul ka sun ke hua jaib-e-pairahan
yan tak to pur asar se fughan-e-hazar hai

ek bulbul-e-asir se puchha mein kis liye
aane ka fasl-e-gul ke tujhe intizar hai

kahne lagi wo uqda-e-KHatir ko khol kar
gul gul shagufta hun main sunun jo bahaar hai

aankhon se dil ke did ko mane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi wasl-e-yar hai

us shama-ru pe dil se tasadduq hai balki 'ishq'
parwana-war jaan se har-dam nisar hai

(468) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai written by Ishq Aurangabadi at UrduPoint. Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai is one of the masterpieces written by Ishq Aurangabadi. You can also find the complete poetry collection of Ishq Aurangabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ishq Aurangabadi' above.

Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Safhe Pe Kab Chaman Ke Hawa Se Ghubar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.