Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae, Urdu Ghazal By Jameeluddin Aali

Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameeluddin Aali. Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ عشق کی گلیاں جن میں ہم کس کس عالم میں آئے گئے

جمیل الدین عالی

یہ عشق کی گلیاں جن میں ہم کس کس عالم میں آئے گئے

کہتی ہیں کہ حضرت اب کیسے تم آج یہاں کیوں پائے گئے

اک شرط ہے یاں خوشبوئے وفا یاد آئے تو کرنا یاد ذرا

جب تم پہ بھروسا تھا گل کا کیا مہکے کیا مہکائے گئے

ہے یہ وہی لوح باب جنوں لکھا ہے نہ پوچھو کیا اور کیوں

تم لائے کلید جذب دروں اور سب منظر دکھلائے گئے

اک تخت روان شعر آیا کچھ شاہ سخن نہ فرمایا

پھر تاج ترنم پہنایا اور غزلوں میں تلوائے گئے

اک طبع رسا سے کیا بنتا یہ ان گلیوں کا صدقہ تھا

وہ لفظ اور وہ اسلوب ملے اور وہ معنی سجوائے گئے

حیرت سے ٹھہر جاتی تھی یہاں یہ کہتی ہوئی ہر کاہکشاں

جب یوں مل جانا ممکن ہے تو پھر ہم کیوں پھیلائے گئے

دنیا کے سہی انداز بہت ان گلیوں کے بھی ہیں راز بہت

جو ٹھہرے وہ سرافراز ہوئے جو نکلے وہ ٹھکرائے گئے

جمیل الدین عالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae

Jameeluddin Aali

ye ishq ki galiyan jin mein hum kis kis aalam mein aae gae
kahti hain ki hazrat ab kaise tum aaj yahan kyun pae gae

ek shart hai yan KHushbu-e-wafa yaad aae to karna yaad zara
jab tum pe bharosa tha gul ka kya mahke kya mahkae gae

hai ye wahi lauh-e-bab-e-junun likkha hai na puchho kya aur kyun
tum lae kalid-e-jazb-e-darun aur sab manzar dikhlae gae

ek taKHt-e-rawan-e-sher aaya kuchh shah-e-suKHan na farmaya
phir taj-e-tarannum pahnaya aur ghazlon mein tulwae gae

ek tab-e-rasa se kya banta ye un galiyon ka sadqa tha
wo lafz aur wo uslub mile aur wo mani sajwae gae

hairat se Thahar jati thi yahan ye kahti hui har kahkashan
jab yun mil jaana mumkin hai to phir hum kyun phailae gae

duniya ke sahi andaz bahut un galiyon ke bhi hain raaz bahut
jo Thahre wo sar-afraaz hue jo nikle wo Thukrae gae

(676) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae written by Jameeluddin Aali at UrduPoint. Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae is one of the masterpieces written by Jameeluddin Aali. You can also find the complete poetry collection of Jameeluddin Aali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameeluddin Aali' above.

Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.