Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein, Urdu Ghazal By Jigar Barelvi

Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jigar Barelvi. Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein comes under the Social category of Urdu Ghazal. You can read Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اپنے ہی سجدے کا ہے شوق میرے سر نیاز میں

جگر بریلوی

اپنے ہی سجدے کا ہے شوق میرے سر نیاز میں

کعبۂ دل ہے سامنے محو ہوں میں نماز میں

بینا ہے گر تو خاک ڈال دیدۂ امتیاز میں

جام و خم و سبو نہ دیکھ مے کدۂ مجاز میں

کس کا فروغ عکس ہے کون ہے محو ناز میں

کوند رہی ہیں بجلیاں آئینۂ مجاز میں

صبح ازل ہے صبح حسن شام ابد ہے داغ عشق

دل ہے مقام ارتباط سلسلۂ دراز میں

پردۂ اعتبار غیر پیرہن خودی ہے چاک

حسن ازل ہے جلوہ ریز صدمۂ دل گداز میں

عقل و شعور بھی ہیں کیا عقدہ راز دہر ہیں

رہ گئے اور الجھ کے ہم سعیٔ کشود راز میں

یاد کسی کی آ گئی کٹ گئی زندگی کی رات

ورنہ کہاں نمود صبح ایسی شب دراز میں

دفن ہے دل جگہ جگہ کعبہ ہے گام گام پر

سجدہ کہاں کہاں کرے کوئی حریم ناز میں

حسن کے آستانہ پر ناصیہ رکھ کے بھول جا

فکر قبول و رد نہ کر پیش کش نیاز میں

خون کے آنسوؤں سے ہے زینت حسن دل جگرؔ

چاہیے داغ عشق بھی سینۂ پاکباز میں

جگر بریلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein

Jigar Barelvi

apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein
kaba-e-dil hai samne mahw hun main namaz mein

bina hai gar to KHak Dal dida-e-imtiyaz mein
jam o KHum-o-subu na dekh mai-kada-e-majaz mein

kis ka farogh-e-aks hai kaun hai mahw-e-naz mein
kaund rahi hain bijliyan aaina-e-majaz mein

subh-e-azal hai subh-e-husn sham-e-abad hai dagh-e-ishq
dil hai maqam-e-irtibaat silsila-e-daraaz mein

parda-e-e'tibar-e-ghair pairahan-e-KHudi hai chaak
husn-e-azal hai jalwa-rez sadma-e-dil-gudaz mein

aql-o-shuur bhi hain kya uqda-e-raaz-e-dahr hain
rah gae aur ulajh ke hum sai-e-kashud-e-raaz mein

yaad kisi ki aa gai kaT gai zindagi ki raat
warna kahan numud-e-subh aisi shab-e-daraaz mein

dafn hai dil jagah jagah kaba hai gam gam par
sajda kahan kahan kare koi harim-e-naz mein

husn ke aastane par nasiya rakh ke bhul ja
fikr-e-qubul-o-rad na kar pesh-kash-e-niyaz mein

KHun ke aansuon se hai zinat-e-husn-e-dil 'jigar'
chahiye dagh-e-ishq bhi sina-e-pak-baz mein

(656) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein written by Jigar Barelvi at UrduPoint. Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein is one of the masterpieces written by Jigar Barelvi. You can also find the complete poetry collection of Jigar Barelvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jigar Barelvi' above.

Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.