Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin, Urdu Ghazal By Jurat Qalandar Bakhsh

Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jurat Qalandar Bakhsh. Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دام میں ہم کو لاتے ہو تم دل اٹکا ہے اور کہیں

جرأت قلندر بخش

دام میں ہم کو لاتے ہو تم دل اٹکا ہے اور کہیں

شعر پڑھانے ہم سے اور مضمون گٹھا ہے اور کہیں

آنکھیں ذرا ملانا ادھر کو کیوں جی یہ کیا باتیں ہیں

بات کی ہم سے اٹھانی لذت جی کا مزا ہے اور کہیں

حق تو ہے کچھ حال دل اپنا کہتے ہیں جب تم سے ہم

کان لگائے سنتے ہو پر دھیان لگا ہے اور کہیں

دیکھیو یہ عیاری کوئی کیا کیا ہم کو لپیٹے میں

وہ بت پر فن لیتا ہے دل جس نے دیا ہے اور کہیں

ٹوک کے اس سے بات کروں تو یوں وہ کہے ہے چتون میں

مجھ کو نہ چھیڑو دھیان اجی اس وقت مرا ہے اور کہیں

ہم سے زبانی ملنے کو تم کہتے ہو ہم جانتے ہیں

دل سے پر آنے جانے کا اقرار کیا ہے اور کہیں

دیکھ کے ہم کو جو کہتے ہو تم آؤ بیٹھو بات کرو

باتیں یہ سب ظاہر کی ہیں انس ہوا ہے اور کہیں

اب تو کچھ ہمدرد سے میرے آتے ہو تم مجھ کو نظر

تم سا شاید کوئی پیارے تم کو ملا ہے اور کہیں

بیٹھے ہو مجھ پاس ولیکن گھبرانے سے نکلے ہے

آنکھ بچا کر اٹھ جانے کا دھیان بندھا ہے اور کہیں

ظاہر میں تم کہتے ہو مجھ کو بیٹھو ابھی تو جاؤ نہ گھر

مجھ کو تو معلوم ہے جو پیغام گیا ہے اور کہیں

باتیں کر کے لگاوٹ کی یہ کافر ہوں گر جھوٹ کہوں

دل کو مرے تم لیتے ہو جی نام خدا ہے اور کہیں

حیف ہے اس کے ہونے پر جو یاد کرو تم غیر کو جان

جرأتؔ میں جو نہیں سو ایسی بات وہ کیا ہے اور کہیں

جرأت قلندر بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin

Jurat Qalandar Bakhsh

dam mein hum ko late ho tum dil aTka hai aur kahin
sher paDhane hum se aur mazmun gaTha hai aur kahin

aankhen zara milana idhar ko kyun ji ye kya baaten hain
baat ki hum se uThani lazzat ji ka maza hai aur kahin

haq to hai kuchh haal-e-dil apna kahte hain jab tum se hum
kan lagae sunte ho par dhyan laga hai aur kahin

dekhiyo ye ayyari koi kya kya hum ko lapeTe mein
wo but-e-pur-fan leta hai dil jis ne diya hai aur kahin

Tok ke us se baat karun to yun wo kahe hai chitwan mein
mujh ko na chheDo dhyan aji is waqt mera hai aur kahin

hum se zabani milne ko tum kahte ho hum jaante hain
dil se par aane jaane ka iqrar kiya hai aur kahin

dekh ke hum ko jo kahte ho tum aao baiTho baat karo
baaten ye sab zahir ki hain uns hua hai aur kahin

ab to kuchh hamdard se mere aate ho tum mujh ko nazar
tum sa shayad koi pyare tum ko mila hai aur kahin

baiThe ho mujh pas wa-lekin ghabrane se nikle hai
aankh bacha kar uTh jaane ka dhyan bandha hai aur kahin

zahir mein tum kahte ho mujh ko baiTho abhi to jao na ghar
mujh ko to malum hai jo paigham gaya hai aur kahin

baaten kar ke lagawaT ki ye kafir hun gar jhuT kahun
dil ko mere tum lete ho ji nam-e-KHuda hai aur kahin

haif hai us ke hone par jo yaad karo tum ghair ko jaan
'jurat' mein jo nahin so aisi baat wo kya hai aur kahin

(460) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin written by Jurat Qalandar Bakhsh at UrduPoint. Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin is one of the masterpieces written by Jurat Qalandar Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jurat Qalandar Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jurat Qalandar Bakhsh' above.

Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dam Mein Hum Ko Late Ho Tum Dil ATka Hai Aur Kahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.