Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga, Urdu Ghazal By Mahboob Anwar

Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mahboob Anwar. Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوائے تند کے جھونکے کو آزماؤں گا

محبوب انور

ہوائے تند کے جھونکے کو آزماؤں گا

میں اک دیے سے ہزاروں دیے جلاؤں گا

میں شہر شہر صدا پر صدا اٹھاؤں گا

گلیم پوش غزل ہوں غزل سناؤں گا

یہ قسط قسط تبسم سلگتے ہونٹوں پر

سجا کے اب کے بھی میں قتل گاہ جاؤں گا

اسیر گنبد تنہائی اتنا یاد رکھو

میں بازگشت نہیں ہوں کہ لوٹ آؤں گا

میں دھوپ دھوپ چلوں گا یہ دوسروں کے لئے

سڑک کے دونوں طرف پیڑ ہی لگاؤں گا

بہت حقیر ہوں لیکن اندھیری راتوں میں

میں جگنوؤں کی طرح روز جگمگاؤں گا

یہ کرب کرب کہانی یہ دار دار سفر

میں اب کے لوٹ کے آؤں تو پھر سناؤں گا

مجھے خبر ہے کہ ہیں سانپ ان سوراخوں میں

مگر دوبارہ میں ان سے ڈسا نہ جاؤں گا

میں لمحہ لمحہ سزائیں تو کاٹ لوں گا مگر

حصار ارض سخن سے نکل نہ پاؤں گا

محبوب انور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga

Mahboob Anwar

hawa-e-tund ke jhonke ko aazmaunga
main ek diye se hazaron diye jalaunga

main shahr shahr sada par sada uThaunga
galim-posh-e-ghazal hun ghazal sunaunga

ye qist qist tabassum sulagte honTon par
saja ke ab ke bhi main qatl-gah jaunga

asir-e-gumbad-e-tanhai itna yaad rakho
main bazgasht nahin hun ki lauT aaunga

main dhup dhup chalunga ye dusron ke liye
saDak ke donon taraf peD hi lagaunga

bahut haqir hun lekin andheri raaton mein
main jugnuon ki tarah roz jagmagaunga

ye karb karb kahani ye dar dar safar
main ab ke lauT ke aaun to phir sunaunga

mujhe KHabar hai ki hain sanp in suraKHon mein
magar dobara main in se Dasa na jaunga

main lamha lamha sazaen to kaT lunga magar
hisar-e-arz-e-suKHan se nikal na paunga

(535) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga written by Mahboob Anwar at UrduPoint. Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga is one of the masterpieces written by Mahboob Anwar. You can also find the complete poetry collection of Mahboob Anwar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mahboob Anwar' above.

Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hawa-e-tund Ke Jhonke Ko Aazmaunga, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.