Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai, Urdu Ghazal By Manzar Lakhnavi

Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Manzar Lakhnavi. Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسرتوں میں اب یہ اک حسرت ہمارے دل میں ہے

منظر لکھنوی

حسرتوں میں اب یہ اک حسرت ہمارے دل میں ہے

اتنا کہہ دیجے کہ بے چارہ بڑی مشکل میں ہے

ایک موسیٰ تھے کہ ان کا ذکر ہر محفل میں ہے

اور اک میں ہوں کہ اب تک میرے دل کی دل میں ہے

آج کیوں حد سے سوا الجھن ہمارے دل میں ہے

کیا نصیب دشمناں وہ بھی کسی مشکل میں ہے

ہے کوئی ایسا جو ساقی سے کہے میرے لیے

یہ بھی اک اللہ کا بندہ تری محفل میں ہے

یا الٰہی خیر یوں ہمدردیاں ہوتی ہیں آج

جیسے میرے دل کا سارا درد انہیں کے دل میں ہے

دیکھنا یہ ہے ان آنکھوں میں سما جاتا ہے کون

یوں تو ہونے کو زمانہ بھر تری محفل میں ہے

دیکھیے کس کے مقدر میں لکھی ہے یہ بہار

آج تو اک ہار پھولوں کا کف قاتل میں ہے

دیکھیے تو اپنے وحشی کی تصور میں خوشی

گھر میں تنہا ہے مگر جیسے بھری محفل میں ہے

ہے محبت کوئی بیماری تو بیماری قبول

ہائے منظرؔ کس مزے کا درد اپنے دل میں ہے

منظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai

Manzar Lakhnavi

hasraton mein ab ye ek hasrat hamare dil mein hai
itna kah dije ki be-chaara baDi mushkil mein hai

ek musa the ki in ka zikr har mahfil mein hai
aur ek main hun ki ab tak mere dil ki dil mein hai

aaj kyun had se siwa uljhan hamare dil mein hai
kya nasib-e-dushmanan wo bhi kisi mushkil mein hai

hai koi aisa jo saqi se kahe mere liye
ye bhi ek allah ka banda teri mahfil mein hai

ya ilahi KHair yun hamdardiyan hoti hain aaj
jaise mere dil ka sara dard unhin ke dil mein hai

dekhna ye hai un aankhon mein sama jata hai kaun
yun to hone ko zamana bhar teri mahfil mein hai

dekhiye kis ke muqaddar mein likhi hai ye bahaar
aaj to ek haar phulon ka kaf-e-qatil mein hai

dekhiye to apne wahshi ki tasawwur mein KHushi
ghar mein tanha hai magar jaise bhari mahfil mein hai

hai mohabbat koi bimari to bimari qubul
hae 'manzar' kis maze ka dard apne dil mein hai

(384) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai written by Manzar Lakhnavi at UrduPoint. Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai is one of the masterpieces written by Manzar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Manzar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Manzar Lakhnavi' above.

Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hasraton Mein Ab Ye Ek Hasrat Hamare Dil Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.