Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum, Urdu Ghazal By Meer Mohammadi Bedar

Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Meer Mohammadi Bedar. Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ بھی کوئی وضع آنے کی ہے جو آتے ہو تم

میر محمدی بیدار

یہ بھی کوئی وضع آنے کی ہے جو آتے ہو تم

ایک دم آئے نہیں گزرا کہ پھر جاتے ہو تم

دور سے یوں تو کوئی جھمکی دکھا جاتے ہو تم

پر جو چاہوں یہ کہ پاس آؤ کہاں آتے ہو تم

کہیے مجھ سے تو بھلا اتنا کہ کچھ میں بھی سنوں

بندہ پرور کس کے ہاں تشریف فرماتے ہو تم

اس پری صورت بلا انگیز کو دیکھا نہیں

ناصحو معذور ہو گر مجھ کو سمجھاتے ہو تم

دیکھیے خرمن پہ یہ برق بلا کس کے پڑے

بے طرح کچھ تیوری بدلے چلے آتے ہو تم

جو کوئی بندہ ہو اپنا اس سے پھر کیا ہے حجاب

میں تو اس لائق نہیں جو مجھ سے شرماتے ہو تم

آج یہ گو اور یہ میداں انہیں کہہ دیجئے

دیکھ لوں جن کے بھروسے مجھ کو دھمکاتے ہو تم

پھر نہ آویں گے کبھی ایسی ہی گر آزردہ ہو

بس چلے ہم خوش رہو کاہے کو جھنجلاتے ہو تم

حالت بیدارؔ اب کیا کیجئے آپ آگے بیاں

وقت ہے اب بھی اگر تشریف فرماتے ہو تم

میر محمدی بیدار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum

Meer Mohammadi Bedar

ye bhi koi waza aane ki hai jo aate ho tum
ek dam aae nahin guzra ki phir jate ho tum

dur se yun to koi jhamki dikha jate ho tum
par jo chahun ye ki pas aao kahan aate ho tum

kahiye mujh se to bhala itna ki kuchh main bhi sunun
banda-parwar kis ke han tashrif farmate ho tum

us pari-surat bala-angez ko dekha nahin
naseho mazur ho gar mujh ko samjhate ho tum

dekhiye KHirman pe ye barq-e-bala kis ke paDe
be-tarah kuchh tewari badle chale aate ho tum

jo koi banda ho apna is se phir kya hai hijab
main to is laeq nahin jo mujh se sharmate ho tum

aaj ye go aur ye maidan unhen kah dijiye
dekh lun jin ke bharose mujh ko dhamkate ho tum

phir na aawenge kabhi aisi hi gar aazurda ho
bas chale hum KHush raho kahe ko jhunjlate ho tum

haalat-e-'bedar' ab kya kijiye aap aage bayan
waqt hai ab bhi agar tashrif farmate ho tum

(507) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum written by Meer Mohammadi Bedar at UrduPoint. Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum is one of the masterpieces written by Meer Mohammadi Bedar. You can also find the complete poetry collection of Meer Mohammadi Bedar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Meer Mohammadi Bedar' above.

Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Bhi Koi Waza Aane Ki Hai Jo Aate Ho Tum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.