Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh, Urdu Ghazal By Mehshar Afridi

Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mehshar Afridi. Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

انا کا بوجھ کبھی جسم سے اتار کے دیکھ

محشر آفریدی

انا کا بوجھ کبھی جسم سے اتار کے دیکھ

مجھے زباں سے نہیں روح سے پکار کے دیکھ

میری زمین پہ چل تیز تیز قدموں سے

پھر اس کے بعد تو جلوے مرے غبار کے دیکھ

یہ اشک دل پہ گریں تو بہت چمکتا ہے

کبھی یہ آئنہ تیزاب سے نکھار کے دیکھ

نہ پوچھ مجھ سے ترے قرب کا نشہ کیا ہے

تو اپنی آنکھ میں ڈورے مرے خمار کے دیکھ

ذرا تجھے بھی تو احساس ہجر ہو جاناں

بس ایک رات میرے حال میں گزار کے دیکھ

ابھی تو صرف کمال غرور دیکھا ہے

تجھے قسم ہے تماشے بھی انکسار کے دیکھ

محشر آفریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh

Mehshar Afridi

ana ka bojh kabhi jism se utar ke dekh
mujhe zaban se nahin ruh se pukar ke dekh

meri zamin pe chal tez tez qadmon se
phir us ke baad tu jalwe mere ghubar ke dekh

ye ashk dil pe giren to bahut chamakta hai
kabhi ye aaina tezab se nikhaar ke dekh

na puchh mujh se tere qurb ka nasha kya hai
tu apni aankh mein Dore mere KHumar ke dekh

zara tujhe bhi to ehsas-e-hijr ho jaanan
bas ek raat mere haal mein guzar ke dekh

abhi to sirf kamal-e-ghurur dekha hai
tujhe qasam hai tamashe bhi inkisar ke dekh

(2208) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh written by Mehshar Afridi at UrduPoint. Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh is one of the masterpieces written by Mehshar Afridi. You can also find the complete poetry collection of Mehshar Afridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mehshar Afridi' above.

Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ana Ka Bojh Kabhi Jism Se Utar Ke Dekh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.