Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai, Urdu Ghazal By Mehshar Afridi

Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mehshar Afridi. Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو چند لمحوں میں بن گیا تھا وہ سلسلہ ختم ہو گیا ہے

محشر آفریدی

جو چند لمحوں میں بن گیا تھا وہ سلسلہ ختم ہو گیا ہے

یہ تم نے کیسا یقیں دلایا مغالطہ ختم ہو گیا ہے

زبان ہونٹوں پہ جا کے پھیکی ہی لوٹ آتی ہے کچھ دنوں سے

نمک نہیں ہے ترے لبوں میں یا ذائقہ ختم ہو گیا ہے

گمان گاؤں سے میں چلا تھا یقین کی منزلوں کی جانب

مگر توہم کے جنگلوں میں ہی راستہ ختم ہو گیا ہے

وہ گفتگوؤں کے نرم چشمہ کہیں فزا میں ہی جم گئے ہیں

وہ سارے میسج وہ شاعری کا تبادلہ ختم ہو گیا ہے

کل ایک صدمہ پڑا تھا ہم پر کے جس نے دل کو ہلا دیا تھا

چلو کے سینے کا جائزہ لیں کہ زلزلہ ختم ہو گیا ہے

مرے تصور میں اتنی وسعت نہیں کے تیرا بدن سمائے

میں تجھ کو سوچوں تو ایسا لگتا ہے حافظہ ختم ہو گیا ہے

میں تجھ کو پا کر ہی مطمئن ہوں اب اور کوئی طلب نہیں ہے

جو آج تک تھا نصیب سے وہ مطالبہ ختم ہو گیا ہے

محشر آفریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai

Mehshar Afridi

jo chand lamhon mein ban gaya tha wo silsila KHatm ho gaya hai
ye tum ne kaisa yaqin dilaya mughaalta KHatm ho gaya hai

zaban honTon pe ja ke phiki hi lauT aati hai kuchh dinon se
namak nahin hai tere labon mein ya zaiqa KHatm ho gaya hai

guman ganw se main chala tha yaqin ki manzilon ki jaanib
magar tawahhum ke jangalon mein hi rasta KHatm ho gaya hai

wo guftuguon ke narm chashme kahin faza mein hi jam gae hain
wo sare message wo shairi ka tabaadala KHatm ho gaya hai

kal ek sadma paDa tha hum par ke jis ne dil ko hila diya tha
chalo ke sine ka jaeza len ki zalzala KHatm ho gaya hai

mere tasawwur mein itni wusat nahin ke tera badan samae
main tujh ko sochun to aisa lagta hai hafiza KHatm ho gaya hai

main tujh ko pa kar hi mutmain hun ab aur koi talab nahin hai
jo aaj tak tha nasib se wo mutalba KHatm ho gaya hai

(1200) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai written by Mehshar Afridi at UrduPoint. Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai is one of the masterpieces written by Mehshar Afridi. You can also find the complete poetry collection of Mehshar Afridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mehshar Afridi' above.

Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Chand Lamhon Mein Ban Gaya Tha Wo Silsila KHatm Ho Gaya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.