Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle, Urdu Ghazal By Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi. Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

داد ملتی نظر اہل نظر سے پہلے

میرزا الطاف حسین عالم لکھنوی

داد ملتی نظر اہل نظر سے پہلے

موت آتی جو کہیں دل کو جگر سے پہلے

تصفیہ کرتے نہ ہنگام سحر سے پہلے

پوچھ لیتے کسی مایوس نظر سے پہلے

میرا مرنا تمہیں ہو جائے گا خود ہی معلوم

دل تڑپ اٹھے گا سینے میں خبر سے پہلے

تم تو کہتے تھے کہ میں درد کا قائل ہی نہیں

کون چیخا مرے نالوں کے اثر سے پہلے

نام جس چیز کا ہے موت جہاں میں مشہور

واقعہ یہ تو ہوا درد جگر سے پہلے

آج کی رات تو کچھ اور خبر دیتی ہے

ہو مناسب تو چلے آنا سحر سے پہلے

ایک بجلی سی مری آنکھوں کے اندر کوندی

اور ارادہ جو ہوا عزم سفر سے پہلے

روئی مجبوریوں پر چارہ گروں کی قسمت

مر گیا آپ کا بیمار سحر سے پہلے

میں بھی سمجھا ہوں ترے نقش قدم کا مطلب

میں بھی گزرا تھا اسی راہ گزر سے پہلے

میرزا الطاف حسین عالم لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle

Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi

dad milti nazar-e-ahl-e-nazar se pahle
maut aati jo kahin dil ko jigar se pahle

tasfiya karte na hangam-e-sahar se pahle
puchh lete kisi mayus nazar se pahle

mera marna tumhein ho jaega KHud hi malum
dil taDap uTThega sine mein KHabar se pahle

tum to kahte the ki main dard ka qail hi nahin
kaun chiKHa mere nalon ke asar se pahle

nam jis chiz ka hai maut jahan mein mashhur
waqia ye to hua dard-e-jigar se pahle

aaj ki raat to kuchh aur KHabar deti hai
ho munasib to chale aana sahar se pahle

ek bijli si meri aankhon ke andar kaundi
aur irada jo hua azm-e-safar se pahle

roi majburiyon par chaaragaron ki qismat
mar gaya aap ka bimar sahar se pahle

main bhi samjha hun tere naqsh-e-qadam ka matlab
main bhi guzra tha isi rahguzar se pahle

(567) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi Poetry

You can read Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle written by Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi at UrduPoint. Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle is one of the masterpieces written by Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi. You can also find the complete poetry collection of Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mirza Altaf Husain Alim Lucknowi' above.

Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dad Milti Nazar-e-ahl-e-nazar Se Pahle, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.