Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza, Urdu Ghazal By Mohammad Ahmad Saqi

Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ahmad Saqi. Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پہلے چپ چاپ مجھے تکتا رہا دروازہ

محمد احمد ساقی

پہلے چپ چاپ مجھے تکتا رہا دروازہ

جوں ہی میں جانے لگا بول پڑا دروازہ

آج تک بھول نہیں پایا میں ان تینوں کو

وہ محلہ وہ گلی اور ترا دروازہ

پہلے ہم دونوں بڑی دیر تلک ہنستے رہے

بات فرقت کی چلی رونے لگا دروازہ

اک یہی بات سمجھ میں نہیں آئی اب تک

کیوں پلٹ آیا تھا میں جب وہ کھلا دروازہ

میں جہاں دستکیں دیتا رہا دیوار تھی وہ

اور جسے سمجھا تھا دیوار وہ تھا دروازہ

جانے کس شخص نے دیوار پہ دستک دی ہے

کہ اچانک ہی وہاں پھوٹ پڑا دروازہ

یہ وہ دستک ہے کہ دروازہ جسے جانتا ہے

خود بہ خود یوں ہی نہیں کھلنے لگا دروازہ

بد حواسی کا یہ عالم تھا کہ کچھ یاد نہ تھا

اور تو اور مجھے بھول گیا دروازہ

کئی دروازے نکل آتے تھے دروازے سے

ایسے لگتا ہے کہ اب بانجھ ہوا دروازہ

ایک دن بحث چھڑی موت حقیقت کیا ہے

کچھ نے دیوار کہا کچھ نے کہا دروازہ

رائیگاں عمر کٹی کھل نہ سکا راز حیات

زندگی ختم ہوئی تب یہ کھلا دروازہ

خواب غفلت میں رہا توبہ کا آیا نہ خیال

اور جب آنکھ کھلی بند ہوا دروازہ

ضبط اتنا بھی مرے بس میں نہیں تھا احمدؔ

حبس جب حد سے بڑھا توڑ دیا دروازہ

محمد احمد ساقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza

Mohammad Ahmad Saqi

pahle chup-chap mujhe takta raha darwaza
junhi main jaane laga bol paDa darwaza

aaj tak bhul nahin paya main un tinon ko
wo mohalla wo gali aur tera darwaza

pahle hum donon baDi der talak hanste rahe
baat furqat ki chali rone laga darwaza

ek yahi baat samajh mein nahin aai ab tak
kyon palaT aaya tha main jab wo khula darwaza

main jahan dastaken deta raha diwar thi wo
aur jise samjha tha diwar wo tha darwaza

jaane kis shaKHs ne diwar pe dastak di hai
ki achanak hi wahan phuT paDa darwaza

ye wo dastak hai ki darwaza jise jaanta hai
KHud-ba-KHud yunhi nahin khulne laga darwaza

bad-hawasi ka ye aalam tha ki kuchh yaad na tha
aur to aur mujhe bhul gaya darwaza

kai darwaze nikal aate the darwaze se
aise lagta hai ki ab banjh hua darwaza

ek din bahs chhiDi maut haqiqat kya hai
kuchh ne diwar kaha kuchh ne kaha darwaza

raegan umr kaTi khul na saka raaz-e-hayat
zindagi KHatm hui tab ye khula darwaza

KHwab-e-ghaflat mein raha tauba ka aaya na KHayal
aur jab aankh khuli band hua darwaza

zabt itna bhi mere bas mein nahin tha 'ahmad'
habs jab had se baDha toD diya darwaza

(683) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza written by Mohammad Ahmad Saqi at UrduPoint. Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza is one of the masterpieces written by Mohammad Ahmad Saqi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ahmad Saqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ahmad Saqi' above.

Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pahle Chup-chap Mujhe Takta Raha Darwaza, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.