Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Jauhar

Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Jauhar. Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بے خوف غیر دل کی اگر ترجماں نہ ہو

محمد علی جوہرؔ

بے خوف غیر دل کی اگر ترجماں نہ ہو

بہتر ہے اس سے یہ کہ سرے سے زباں نہ ہو

ہوں بے ہراس یہ مجھے رکھیں کسی جگہ

ڈر ہو وہاں کہ تیری حکومت جہاں نہ ہو

اک تو جو مہرباں ہو تو ہر اک ہو مہرباں

اور یوں نہ ہو بلا سے کوئی مہرباں نہ ہو

ہم کو تو ایک تجھ سے دو عالم میں ہے غرض

سب بدگماں ہوا کریں تو بدگماں نہ ہو

دیر و حرم میں ڈھونڈ کے سب تھک گئے اسے

اب کون کہہ سکے کہ کہاں ہو کہاں نہ ہو

کرنا ہی تھا حرام تو پھر وعدہ کس لیے

یہ کیا کہ مے حلال وہاں ہو یہاں نہ ہو

ہمت نہ ہار دے کوئی منزل کے سامنے

پروردگار یوں بھی کوئی ناتواں نہ ہو

ملنے تو پھر چلے ہو مشیخت پناہ سے

قشقہ کا دیکھو آج جبیں پر نشاں نہ ہو

جوہرؔ اس ایک دل کے لیے اتنے مشغلے

کی ہے خدا کی چاہ تو عشق بتاں نہ ہو

محمد علی جوہرؔ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho

Mohammad Ali Jauhar

be-KHauf-e-ghair dil ki agar tarjuman na ho
behtar hai is se ye ki sire se zaban na ho

hon be-hiras ye mujhe rakkhen kisi jagah
Dar ho wahan ki teri hukumat jahan na ho

ek tu jo mehrban ho to har ek ho mehrban
aur yun na ho bala se koi mehrban na ho

hum ko to ek tujh se do aalam mein hai gharaz
sab bad-guman hua karen tu bad-guman na ho

dair o haram mein DhunD ke sab thak gae use
ab kaun kah sake ki kahan ho kahan na ho

karna hi tha haram to phir wada kis liye
ye kya ki mai halal wahan ho yahan na ho

himmat na haar de koi manzil ke samne
parwardigar yun bhi koi na-tawan na ho

milne to phir chale ho mashiKHat panah se
qashqa ka dekho aaj jabin par nishan na ho

'jauhar' is ek dil ke liye itne mashghale
ki hai KHuda ki chah to ishq-e-butan na ho

(691) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho written by Mohammad Ali Jauhar at UrduPoint. Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Jauhar. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Jauhar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Jauhar' above.

Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Be-KHauf-e-ghair Dil Ki Agar Tarjuman Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.