Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut, Urdu Ghazal By Mohammad Ali Mauj Rampuri

Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Ali Mauj Rampuri. Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دور تک راہ میں کانٹے ہیں بہت

محمد علی موج رام پوری

دور تک راہ میں کانٹے ہیں بہت

میرے بھی چاہنے والے ہیں بہت

گھر سے نکلو نہ بدل کر چہرے

شہر میں آئینہ خانے ہیں بہت

کیا چھپیں خوشبوئیں رسوائی کی

پیار کے پھول مہکتے ہیں بہت

اور کچھ بھی نہیں اپنے بس میں

یاد کر کے تجھے روتے ہیں بہت

تو بھی تنہا ہے بچھڑ کر ہم سے

ہم بھی اے دوست اکیلے ہیں بہت

اک تجھی سے ہے سروکار ہمیں

یوں تو اللہ کے بندے ہیں بہت

موجؔ اظہار محبت کے لیے

آنکھوں آنکھوں میں اشارے ہیں بہت

محمد علی موج رام پوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut

Mohammad Ali Mauj Rampuri

dur tak rah mein kanTe hain bahut
mere bhi chahne wale hain bahut

ghar se niklo na badal kar chehre
shahr mein aaina-KHane hain bahut

kya chhupen KHushbuen ruswai ki
pyar ke phul mahakte hain bahut

aur kuchh bhi nahin apne bas mein
yaad kar ke tujhe rote hain bahut

tu bhi tanha hai bichhaD kar hum se
hum bhi ai dost akele hain bahut

ek tujhi se hai sarokar hamein
yun to allah ke bande hain bahut

'mauj' izhaar-e-mohabbat ke liye
aankhon aankhon mein ishaare hain bahut

(602) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut written by Mohammad Ali Mauj Rampuri at UrduPoint. Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut is one of the masterpieces written by Mohammad Ali Mauj Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Ali Mauj Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Ali Mauj Rampuri' above.

Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dur Tak Rah Mein KanTe Hain Bahut, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.