Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa, Urdu Ghazal By Mohammad Tariq Ghazi

Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Tariq Ghazi. Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چند یادیں ہیں بام و در کے سوا

محمد طارق غازی

چند یادیں ہیں بام و در کے سوا

ذہن میں کچھ نہیں کھنڈر کے سوا

سر بہت تھے جہان فانی میں

در نہ تھا کوئی تیرے در کے سوا

سب سقیفہ میں نذر کر آئے

اپنی تاریخ کو نظر کے سوا

سر میں سودا تھا ٹک کے بیٹھ رہیں

پیر میں کچھ نہ تھا سفر کے سوا

ایک شہر خطر سے آگے بھی

کچھ نہ تھا شہر پر خطر کے سوا

ہر بڑے شہر کے مکانوں میں

آرزو کچھ نہیں ہے گھر کے سوا

چلئے سب ترک کر دیا ہم نے

اک تمنائے مختصر کے سوا

میں بھی ہوں آب و خاک کا پتلا

کیا ہے دنیا بھی بحر و بر کے سوا

تم سمجھتے تھے قافلہ جس کو

بس وہاں ہم تھے دیدہ ور کے سوا

انجمن کا گماں تھا جس پہ وہاں

تھا وہ کون ایک دو نفر کے سوا

آنکھ کے خول میں سماتا کیا

ایک انسان کی نظر کے سوا

گفتگو دیر تک رہی لیکن

کچھ نہ تھی بات اگر مگر کے سوا

وہاں انبوہ غم میں کون نہ تھا

سب ہی تھے ایک ہم سفر کے سوا

یوں تو منزل بھی تھی ارادہ بھی

سامنے سب تھا اک ڈگر کے سوا

راہرو سب قدم قدم چھوٹے

نہیں اب کوئی راہبر کے سوا

میں ہوں باقی لٹے ہوئے گھر میں

کیا ملا ان کو مال و زر کے سوا

محمد طارق غازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa

Mohammad Tariq Ghazi

chand yaaden hain baam-o-dar ke siwa
zehn mein kuchh nahin khanDar ke siwa

sar bahut the jahan-e-fani mein
dar na tha koi tere dar ke siwa

sab saqifa mein nazr kar aae
apni tariKH ko nazar ke siwa

sar mein sauda tha Tik ke baiTh rahen
pair mein kuchh na tha safar ke siwa

ek shahr-e-KHatar se aage bhi
kuchh na tha shahr-e-pur-KHatar ke siwa

har baDe shahr ke makanon mein
aarzu kuchh nahin hai ghar ke siwa

chaliye sab tark kar diya hum ne
ek tamanna-e-muKHtasar ke siwa

main bhi hun aab-o-KHak ka putla
kya hai duniya bhi bahr-o-bar ke siwa

tum samajhte the qafila jis ko
bas wahan hum the dida-war ke siwa

anjuman ka guman tha jis pe wahan
tha wo kaun ek do nafar ke siwa

aankh ke KHol mein samata kya
ek insan ki nazar ke siwa

guftugu der tak rahi lekin
kuchh na thi baat agar magar ke siwa

wahan amboh-e-gham mein kaun na tha
sab hi the ek ham-safar ke siwa

yun to manzil bhi thi irada bhi
samne sab tha ek Dagar ke siwa

rah-rau sab qadam qadam chhuTe
nahin ab koi rahbar ke siwa

main hun baqi luTe hue ghar mein
kya mila un ko mal-o-zar ke siwa

(685) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa written by Mohammad Tariq Ghazi at UrduPoint. Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa is one of the masterpieces written by Mohammad Tariq Ghazi. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Tariq Ghazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Tariq Ghazi' above.

Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chand Yaaden Hain Baam-o-dar Ke Siwa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.