Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل شیدا کی حقیقت مرے مولا کیا ہے

محمد یوسف راسخ

دل شیدا کی حقیقت مرے مولا کیا ہے

جان حاضر ہے مری آپ سے اچھا کیا ہے

احمدؐ اور احمدؐ بے میم کا پردا کیا ہے

عقل اول کو بھی حیرت ہے معما کیا ہے

آپ کے غم نے تن زار میں چھوڑا کیا ہے

ملک الموت کا یہ مجھ سے تقاضا کیا ہے

عیش امروز پہ خوش ہیں غم فردا کیا ہے

موت آ جائے تو مر جائیں گے جھگڑا کیا ہے

ہم تو مدہوش پڑے رہتے تھے مے خانہ میں

کیا خبر کاتب اعمال نے لکھا کیا ہے

آج تک شہر خموشاں کا نہ کچھ حال کھلا

لوگ کیا دیکھنے جاتے ہیں تماشا کیا ہے

عرصۂ حشر میں ہے آج قیامت کی گرفت

اب بتائے تو کوئی نازش تقویٰ کیا ہے

سر تو ہم بھی نہ جھکائیں گے سبک سر ہو کر

چرخ دشمن ہے تو دشمن سہی ہوتا کیا ہے

تم سے ہٹ کر کہیں پڑتی ہی نہیں میری نظر

تم تمنا ہو مری اور تمنا کیا ہے

دو بدو کیوں نہ کہوں تم سے جو کہنا ہے مجھے

دل میں گھٹ گھٹ کے جو رہ جائے وہ شکوا کیا ہے

گل کے دامن پہ کہیں خون کا دھبہ نہ لگے

طرز فریاد یہ اے بلبل شیدا کیا ہے

مشکلیں سینکڑوں ہر گام پہ پیش آتی ہیں

ڈھونڈنے والوں نے تجھ کو ابھی پایا کیا ہے

کیا بتاؤں دل رنجور کی حالت تم کو

وہ تو ہر روز کا بیمار ہے اچھا کیا ہے

کلمہ پڑھتا ہوا قبر میں اترا ہوں میں

میرے مذہب کو نکیرین نے سمجھا کیا ہے

اک نہ اک فکر لگی رہتی ہے ہر دم مجھ کو

فکر دنیا میں پڑا ہوں غم عقبیٰ کیا ہے

بادہ نوشوں کے دعا کرتے ہی بادل امڈے

عقل حیران ہے زاہد کی یہ ہوتا کیا ہے

شب معراج کی کیا شان ہے اللہ اللہ

آج دیکھے تو کوئی عرش معلےٰ کیا ہے

اب کے بھی روضۂ اقدس پہ رسائی نہ ہوئی

اور پھر شومیٔ تقدیر کا رونا کیا ہے

اے فلک ہم تجھے ظالم نہیں کہتے لیکن

غور سے سن کہ صدائے لب دنیا کیا ہے

غم الفت کی تواضع کی جگر ہے موجود

اور مقدور میرا اس سے زیادہ کیا ہے

مردے جی اٹھتے ہیں جب نام ترا سنتے ہیں

ہم سے پوچھے کوئی اعجاز مسیحا کیا ہے

مصلحت یہ ہے کہ اظہار محبت نہ کروں

موت ہے میرے لئے عرض تمنا کیا ہے

دل روشن کو سمجھ کعبہ نشیں کی منزل

دیر کہتے ہیں کسے اور کلیسا کیا ہے

کبھی بوتل کو اٹھاتا ہے کبھی ساغر کو

نہیں معلوم کہ راسخؔ کا ارادہ کیا ہے

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai

Mohammad Yusuf Rasikh

dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai
jaan hazir hai meri aap se achchha kya hai

ahmad aur ahmad-e-be-mim ka parda kya hai
aql-e-awwal ko bhi hairat hai muamma kya hai

aap ke gham ne tan-e-zar mein chhoDa kya hai
malak-ul-maut ka ye mujh se taqaza kya hai

aish-e-imroz pe KHush hain gham-e-farda kya hai
maut aa jae to mar jaenge jhagDa kya hai

hum to madhosh paDe rahte the mai-KHane mein
kya KHabar katib-e-amal ne likkha kya hai

aaj tak shahr-e-KHamoshan ka na kuchh haal khula
log kya dekhne jate hain tamasha kya hai

arsa-e-hashr mein hai aaj qayamat ki giraft
ab batae to koi nazish-e-taqwa kya hai

sar to hum bhi na jhukaenge subuk-sar ho kar
charKH dushman hai to dushman sahi hota kya hai

tum se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar
tum tamanna ho meri aur tamanna kya hai

du-badu kyun na kahun tum se jo kahna hai mujhe
dil mein ghuT ghuT ke jo rah jae wo shikwa kya hai

gul ke daman pe kahin KHun ka dhabba na lage
tarz-e-fariyaad ye ai bulbul-e-shaida kya hai

mushkilen sainkaDon har gam pe pesh aati hain
DhunDne walon ne tujh ko abhi paya kya hai

kya bataun dil-e-ranjur ki haalat tum ko
wo to har roz ka bimar hai achchha kya hai

kalima paDhta hua qabr mein utra hun main
mere mazhab ko nakirain ne samjha kya hai

ek na ek fikr lagi rahti hai har dam mujh ko
fikr-e-duniya mein paDa hun gham-e-uqba kya hai

baada-noshon ke dua karte hi baadal umDe
aql hairan hai zahid ki ye hota kya hai

shab-e-mearaj ki kya shan hai allah allah
aaj dekhe to koi arsh-e-mualla kya hai

ab ke bhi rauza-e-aqdas pe rasai na hui
aur phir shumi-e-taqdir ka rona kya hai

ai falak hum tujhe zalim nahin kahte lekin
ghaur se sun ki sada-e-lab-e-duniya kya hai

gham-e-ulfat ki tawazoa ki jigar hai maujud
aur maqdur mera is se ziyaada kya hai

murde ji uThte hain jab nam tera sunte hain
hum se puchhe koi ejaz-e-masiha kya hai

maslahat ye hai ki izhaar-e-mohabbat na karun
maut hai mere liye arz-e-tamanna kya hai

dil-e-raushan ko samajh kaba-nashin ki manzil
dair kahte hain kise aur kalisa kya hai

kabhi botal ko uThata hai kabhi saghar ko
nahin malum ki 'rasiKH' ka irada kya hai

(603) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil-e-shaida Ki Haqiqat Mere Maula Kya Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.