Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ آتی تھی کہیں دل میں نظر آگ

محمد یوسف راسخ

نہ آتی تھی کہیں دل میں نظر آگ

مگر پھر بھی جلی ہے رات بھر آگ

کھلا ہے دل میں اک داغوں کا گلشن

اگلتا ہے مرا زخم جگر آگ

بلایا تھا مجھے بزم طرب میں

لگا دی دل میں کیوں منہ پھیر کر آگ

دکھایا طور پر موسیٰ کو جلوہ

کہاں جا کر بنی ہے راہبر آگ

یہ گریہ اور پھر آہ شرربار

ترقی پر ادھر پانی ادھر آگ

وہ میرا دل جلانا کھیل سمجھے

کرے گی رفتہ رفتہ یہ اثر آگ

شب غم اس قدر رویا ہے کوئی

کہ ڈھونڈے بھی نہیں ملتی سحر آگ

وہ دل پر ہاتھ رکھ کر گئے ہیں

کہ اب جلنے نہ پائے رات بھر آگ

زمانہ کو جلاتا ہے وہ ظالم

نہ بن جائیں کہیں شمس و قمر آگ

یہ کس کی سرد مہری کا اثر تھا

نہ دیکھی طور پر بھی جلوہ گر آگ

کروں کیا آہ سوزاں ہجر کی شب

فرشتوں کے جلا دیتی ہے پر آگ

یہ دشمن کا مکان اپنا ہی گھر ہے

لگا دیں آپ بے خوف و خطر آگ

دل سوزاں یہ کہہ دے چشم تر سے

خدا کے واسطے ٹھنڈی نہ کر آگ

حسد کی آگ میں جلتا ہے اب تک

برستی ہے عدو کی قبر پر آگ

وضو ہو جائیں گے زاہد کے ٹھنڈے

بجھا دے گی کسی کی چشم تر آگ

دل ناداں کو ہم سمجھا چکے تھے

محبت آگ ہے اے بے خبر آگ

سنا مضموں جواب خط کا راسخؔ

اٹھا لایا کہیں سے نامہ بر آگ

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag

Mohammad Yusuf Rasikh

na aati thi kahin dil mein nazar aag
magar phir bhi jali hai raat bhar aag

khula hai dil mein ek daghon ka gulshan
ugalta hai mera zaKHm-e-jigar aag

bulaya tha mujhe bazm-e-tarab mein
laga di dil mein kyun munh pher kar aag

dikhaya tur par musa ko jalwa
kahan ja kar bani hai rahbar aag

ye girya aur phir aah-e-sharar-bar
taraqqi par idhar pani udhar aag

wo mera dil jalana khel samjhe
karegi rafta rafta ye asar aag

shab-e-gham is qadar roya hai koi
ki DhunDe bhi nahin milti sahar aag

wo dil par hath rakh kar gae hain
ki ab jalne na pae raat bhar aag

zamane ko jalata hai wo zalim
na ban jaen kahin shams-o-qamar aag

ye kis ki sard-mehri ka asar tha
na dekhi tur par bhi jalwa-gar aag

karun kya aah-e-sozan hijr ki shab
farishton ke jala deti hai par aag

ye dushman ka makan apna hi ghar hai
laga den aap be-KHauf-o-KHatar aag

dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se
KHuda ke waste ThanDi na kar aag

hasad ki aag mein jalta hai ab tak
barasti hai adu ki qabr par aag

wuzu ho jaenge zahid ke ThanDe
bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag

dil-e-nadan ko hum samjha chuke the
mohabbat aag hai ai be-KHabar aag

suna mazmun jawab-e-KHat ka 'rasiKH'
uTha laya kahin se nama-bar aag

(630) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Aati Thi Kahin Dil Mein Nazar Aag, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.