Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai comes under the Love, Social category of Urdu Ghazal. You can read Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسن اچھا ہے محمد کا کمال اچھا ہے

محمد یوسف راسخ

حسن اچھا ہے محمد کا کمال اچھا ہے

جو خدا کو بھی ہے پیارا وہ جمال اچھا ہے

بزم کونین مرتب ہوئی تیری خاطر

وقت ہے تیرے لئے اس میں جو مال اچھا ہے

مجھ سے پوچھے تو کوئی تیرے غلاموں کا عروج

بادشاہوں سے بھی رتبے میں بلال اچھا ہے

غم اٹھانے کی ہے عادت مری طبع ثانی

میں تو کہتا ہوں کہ دنیا میں ملال اچھا ہے

قصۂ طور سے واقف ہے زمانہ سارا

کوئی کس منہ سے کہے شوق جمال اچھا ہے

بزم میں دیکھ کے حسرت سے کسی کو چپ ہوں

در حقیقت یہی انداز سوال اچھا ہے

جس میں اک دن بھی میسر ہو ملاقات کی رات

میرے نزدیک تو وہ ماہ وہ سال اچھا ہے

لطف دیتا ہے مجھے تیرا تصور شب غم

سچ کہا کرتے ہیں اچھوں کا خیال اچھا ہے

جب سے دیکھے ہیں تمہارے لب و ابرو ہم نے

نہ کہا ہے نہ کہیں گے کہ ہلال اچھا ہے

تجھ سے ہٹ کر کہیں پڑتی ہی نہیں میری نظر

یوں تو یوسف کا بھی ہونے کو جمال اچھا ہے

عاشقوں کے لئے کس کام کا ہے صبر و قرار

جو ترے غم میں رہے مضطرب حال اچھا ہے

اس نے دیکھا ہی نہیں قامت زیبا تیرا

جو یہ کہتا ہو کہ گلشن میں نہال اچھا ہے

پھر وہی ذکر ہے ارباب کرم کا راسخؔ

ہم سمجھتے ہیں یہ انداز سوال اچھا ہے

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai

Mohammad Yusuf Rasikh

husn achchha hai mohammad ka kamal achchha hai
jo KHuda ko bhi hai pyara wo jamal achchha hai

bazm-e-kaunain murattab hui teri KHatir
waqt hai tere liye is mein jo mal achchha hai

mujh se puchhe to koi tere ghulamon ka uruj
baadshahon se bhi rutbe mein bilal achchha hai

gham uThane ki hai aadat meri tab-e-sani
main to kahta hun ki duniya mein malal achchha hai

qissa-e-tur se waqif hai zamana sara
koi kis munh se kahe shauq-e-jamal achchha hai

bazm mein dekh ke hasrat se kisi ko chup hun
dar-haqiqat yahi andaz-e-sawal achchha hai

jis mein ek din bhi mayassar ho mulaqat ki raat
mere nazdik to wo mah wo sal achchha hai

lutf deta hai mujhe tera tasawwur shab-e-gham
sach kaha karte hain achchhon ka KHayal achchha hai

jab se dekhe hain tumhaare lab-o-abru hum ne
na kaha hai na kahenge ki hilal achchha hai

tujh se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar
yun to yusuf ka bhi hone ko jamal achchha hai

aashiqon ke liye kis kaam ka hai sabr-o-qarar
jo tere gham mein rahe muztarib haal achchha hai

us ne dekha hi nahin qamat-e-zeba tera
jo ye kahta ho ki gulshan mein nihaal achchha hai

phir wahi zikr hai arbab-e-karam ka 'rasiKH'
hum samajhte hain ye andaz-e-sawal achchha hai

(661) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Husn Achchha Hai Mohammad Ka Kamal Achchha Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.