Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ مروت ہے نہ الفت نہ وفا میرے بعد

محمد یوسف راسخ

نہ مروت ہے نہ الفت نہ وفا میرے بعد

میرا سرمایہ بھی دنیا سے اٹھا میرے بعد

بزم ماتم ہی میں آ جاؤ ذرا میرے بعد

چاہئے کچھ تو تمہیں پاس وفا میرے بعد

شمع مدفن سے الجھتی ہے صبا میرے بعد

کیسی بگڑی ہے زمانہ کی ہوا میرے بعد

چرخ کم ظرف ہے سر گرم جفا میرے بعد

اس کو مرقد بھی کھٹکتا ہے مرا میرے بعد

کون لیتا تھا غم ارض و سما میرے بعد

مرنے والا کوئی پیدا نہ ہوا میرے بعد

ہائے پھر بھی نہ مٹا ان کی طبیعت کا غبار

کر چکے خاک مری وقف صبا میرے بعد

حسن کا دیکھنے والا کوئی باقی نہ رہا

کس سے کرتے ہو تم اب شرم و حیا میرے بعد

تم نے دو پھول تو مدفن پہ چڑھائے ہوتے

تم سے اتنا بھی کبھی ہو نہ سکا میرے بعد

ہو گیا قیس کو بھی عشق کا دعویٰ پیدا

ایک افسانہ نیا تم نے سنا میرے بعد

ہم نے دیکھا نہیں اس ظرف کا پینے والا

شیشہ کرتا ہے یہ ساقی سے گلا میرے بعد

میری ہستی سے قیامت کے اٹھے ہیں فتنے

چھپ کے پردہ میں کوئی رہ نہ سکا میرے بعد

زلف کھولے ہوئے روتے ہیں وہ پائین مزار

جذب الفت نے بڑا کام کیا میرے بعد

خاک تربت سے مری لوگ شفا پاتے ہیں

مرض عشق کی نکلی ہے دوا میرے بعد

اب وہ آرام کہاں غیر کے ویرانے میں

شب فرقت ہے گرفتار بلا میرے بعد

برق نے رکھا ہے دیرینہ تعلق قائم

آشیانہ میں مرے پھول پڑا میرے بعد

ٹکڑے ہوتا ہے جگر سن کے محبت کا بیاں

کوئی سنتا نہیں بلبل کی صدا میرے بعد

شیخ مکہ نے پڑھائی ہے جنازے کی نماز

لوگ سمجھے مجھے کیا جانیے کیا میرے بعد

کیوں بڑھے ان کا قدم گور غریباں کی طرف

ہاتھ آیا ہے انہیں عذر حنا میرے بعد

نو گرفتار بلا ایک مرا دم نکلا

دام صیاد میں کوئی نہ پھنسا میرے بعد

مجھ سے بدنام ہوئے شیشہ و جام و صہبا

کیا کہے گی مجھے مخلوق خدا میرے بعد

فاتحہ کون پڑھے قبر کو ٹھکراتے ہیں

ان کو سوجھی ہے قیامت کی ادا میرے بعد

ملک الموت سے الجھیں گے وہ یہ ڈر ہے مجھے

دیکھیے کس پہ چلے تیغ ادا میرے بعد

بے حجابانہ اٹھا دیجئے چہرہ سے نقاب

اور اب کون ہے مشتاق لقا میرے بعد

میرے پھولوں سے بھی دامن کو بچایا اس نے

لوگ سمجھے ہیں تغافل کو حیا میرے بعد

بوالہوس عشق کے پردے میں نمودار ہوئے

اب کہاں شیوۂ تسلیم و رضا میرے بعد

ذبح کے وقت بھی قاتل کو دعائیں دی ہیں

قطرہ قطرہ سے ٹپکتی ہے وفا میرے بعد

زلف کھولے ہوئے آئے ہو صف ماتم میں

خوب سوجھا عمل رد بلا میرے بعد

جان دیتے ہیں شہادت کی تمنا میں غریب

لب قاتل پہ یہ جاری ہے صدا میرے بعد

کاکل ساقیٔ کوثر کا تصور بن کر

قبر پر آئی ہے رحمت کی گھٹا میرے بعد

گفتگو رات یہ تھی حشر بپا کب ہوگا

بڑھ کے راسخؔ نے سر بزم کہا میرے بعد

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad

Mohammad Yusuf Rasikh

na murawwat hai na ulfat na wafa mere baad
mera sarmaya bhi duniya se uTha mere baad

bazm-e-matam hi mein aa jao zara mere baad
chahiye kuchh to tumhein pas-e-wafa mere baad

sham-e-madfan se ulajhti hai saba mere baad
kaisi bigDi hai zamane ki hawa mere baad

charKH kam-zarf hai sar-garm-e-jafa mere baad
us ko marqad bhi khaTakta hai mera mere baad

kaun leta tha gham-e-arz-o-sama mere baad
marne wala koi paida na hua mere baad

hae phir bhi na miTa un ki tabiat ka ghubar
kar chuke KHak meri waqf-e-saba mere baad

husn ka dekhne wala koi baqi na raha
kis se karte ho tum ab sharm-o-haya mere baad

tum ne do phul to madfan pe chaDhae hote
tum se itna bhi kabhi ho na saka mere baad

ho gaya qais ko bhi ishq ka dawa paida
ek afsana naya tum ne suna mere baad

hum ne dekha nahin us zarf ka pine wala
shisha karta hai ye saqi se gila mere baad

meri hasti se qayamat ke uThe hain fitne
chhup ke parda mein koi rah na saka mere baad

zulf khole hue rote hain wo pain-e-mazar
jazb-e-ulfat ne baDa kaam kiya mere baad

KHak-e-turbat se meri log shifa pate hain
maraz-e-ishq ki nikli hai dawa mere baad

ab wo aaram kahan ghair ke virane mein
shab-e-furqat hai giraftar-e-bala mere baad

barq ne rakkha hai derina talluq qaem
aashiyana mein mere phul paDa mere baad

TukDe hota hai jigar sun ke mohabbat ka bayan
koi sunta nahin bulbul ki sada mere baad

shaiKH-e-makka ne paDhai hai janaze ki namaz
log samjhe mujhe kya jaaniye kya mere baad

kyun baDhe un ka qadam gor-e-ghariban ki taraf
hath aaya hai unhen uzr-e-hina mere baad

nau-giraftar-e-bala ek mera dam nikla
dam-e-sayyaad mein koi na phansa mere baad

mujh se badnam hue shisha-o-jam-o-sahba
kya kahegi mujhe maKHluq-e-KHuda mere baad

fatiha kaun paDhe qabr ko Thukraate hain
un ko sujhi hai qayamat ki ada mere baad

malak-ul-maut se uljhenge wo ye Dar hai mujhe
dekhiye kis pe chale tegh-e-ada mere baad

be-hijabana uTha dijiye chehre se naqab
aur ab kaun hai mushtaq-laqa mere baad

mere phulon se bhi daman ko bachaya us ne
log samjhe hain taghaful ko haya mere baad

bul-hawas ishq ke parde mein numudar hue
ab kahan shewa-e-taslim-o-raza mere baad

zabh ke waqt bhi qatil ko duaen di hain
qatre qatre se Tapakti hai wafa mere baad

zulf khole hue aae ho saf-e-matam mein
KHub sujha amal-e-radd-e-bala mere baad

jaan dete hain shahadat ki tamanna mein gharib
lab-e-qatil pe ye jari hai sada mere baad

kakul-e-saqi-e-kausar ka tasawwur ban kar
qabr par aai hai rahmat ki ghaTa mere baad

guftugu raat ye thi hashr bapa kab hoga
baDh ke 'rasiKH' ne sar-e-bazm kaha mere baad

(542) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Murawwat Hai Na Ulfat Na Wafa Mere Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.