Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka, Urdu Ghazal By Mohammad Yusuf Rasikh

Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Mohammad Yusuf Rasikh. Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل میں جو تصور ہے تری زلف رسا کا

محمد یوسف راسخ

دل میں جو تصور ہے تری زلف رسا کا

سمجھا ہوں اسے میں تو عمل رد بلا کا

دنیا میں کوئی مجھ سا گنہ گار نہ ہوگا

میں خاک کا پتلا نہیں پتلا ہوں خطا کا

جنت کی ہے امید تو دوزخ کا ہے کھٹکا

دشوار ہے میدان بہت بیم و رجا کا

حوران جناں نے ہمیں آنکھوں پہ بٹھایا

دیکھے تو کوئی مرتبہ تیرے شہدا کا

ساغر کی تمنا ہے نہ شیشہ کی ضرورت

مستانہ ہوں تیری نگہ ہوشربا کا

انوار محمد کے ہیں انوار الٰہی

دیدار محمد کا ہے دیدار خدا کا

اک راز ہے یہ بھی کہ تری تیغ کا پانی

چشمہ ہے شہیدوں کے لئے آب بقا کا

اللہ کے محبوب کی نظروں میں ہے اعجاز

سینہ میں جو اللہ کا گھر تھا اسے تاکا

بے آئی مروں تم پہ کہ مرنا ہے مقدر

کیوں مفت میں احسان اٹھاؤں میں قضا کا

مرقد میں بھی امت کو نہ بھولے شۂ والا

اللہ غنی دھیان ہے کتنا غربا کا

روضے پہ کیا عرض مرا حال پریشاں

احسان نہ بھولوں گا کبھی باد صبا کا

جس خاک پہ عاشق نے کئے سجدوں پہ سجدے

خاکہ تھا وہاں آپ کے نقش کف پا کا

ارباب کرم پھولتے پھلتے ہیں ہمیشہ

ملتا ہے ثمر ان کو غریبوں کی دعا کا

راسخؔ کی زباں پر ہو دم مرگ یہ مصرعہ

محبوب کی امت میں ہوں بندہ ہوں خدا کا

محمد یوسف راسخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka

Mohammad Yusuf Rasikh

dil mein jo tasawwur hai teri zulf-e-rasa ka
samjha hun ise main to amal radd-e-bala ka

duniya mein koi mujh sa gunahgar na hoga
main KHak ka putla nahin putla hun KHata ka

jannat ki hai ummid to dozaKH ka hai khaTka
dushwar hai maidan bahut bim-o-raja ka

huran-e-jinan ne hamein aankhon pe biThaya
dekhe to koi martaba tere shohda ka

saghar ki tamanna hai na shishe ki zarurat
mastana hun teri nigah-e-hosh-ruba ka

anwar-e-mohammad ke hain anwar-e-ilahi
didar mohammad ka hai didar KHuda ka

ek raaz hai ye bhi ki teri tegh ka pani
chashma hai shahidon ke liye aab-e-baqa ka

allah ke mahbub ki nazron mein hai eajaz
sine mein jo allah ka ghar tha use taka

be-ai marun tum pe ki marna hai muqaddar
kyun muft mein ehsan uThaun main qaza ka

marqad mein bhi ummat ko na bhule shah-e-wala
allah-ghani dhyan hai kitna ghoraba ka

rauze pe kya arz mera haal-e-pareshan
ehsan na bhulunga kabhi baad-e-saba ka

jis KHak pe aashiq ne kiye sajdon pe sajde
KHaka tha wahan aap ke naqsh-e-kaf-e-pa ka

arbab-e-karam phulte-phalte hain hamesha
milta hai samar un ko gharibon ki dua ka

'rasiKH' ki zaban par ho dam-e-marg ye misra
mahbub ki ummat mein hun banda hun KHuda ka

(599) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka written by Mohammad Yusuf Rasikh at UrduPoint. Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka is one of the masterpieces written by Mohammad Yusuf Rasikh. You can also find the complete poetry collection of Mohammad Yusuf Rasikh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Mohammad Yusuf Rasikh' above.

Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Mein Jo Tasawwur Hai Teri Zulf-e-rasa Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.