Naqli Phul, Urdu Nazam By Muneebur Rahman

Naqli Phul is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Muneebur Rahman. Naqli Phul comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Naqli Phul on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نقلی پھول

منیب الرحمن

میں نے جب پہلے پہل دیکھا تھا

یہ مجھے کتنے بھلے لگتے تھے

تم نے گلدان میں رکھا تھا انہیں

تھی مرے کمرے کی زینت ان سے

اور اب تھک گئیں آنکھیں میری

دیکھتے دیکھتے صورت ان کی

یہ مہکتے ہیں، نہ کمھلاتے ہیں

دن انہیں چھو کے نکل جاتے ہیں

کاش موسم کی عمل داری میں

یہ بھی پابند تغیر ہوتے

جب یہ کھلتے تو کوئی چن چن کر

گوندھتا ان کی لڑی جوڑے میں

اور جب ان پہ خزاں آ جاتی

پھینک دیتا میں انہیں کوڑے میں

منیب الرحمن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Naqli Phul

Muneebur Rahman

main ne jab pahle-pahal dekha tha
ye mujhe kitne bhale lagte the
tum ne gul-dan mein rakkha tha inhen
thi mere kamre ki zinat in se

aur ab thak gain aankhen meri
dekhte dekhte surat in ki
ye mahakte hain, na kumhlate hain
din inhen chhu ke nikal jate hain
kash mausam ki amal-dari mein
ye bhi paband-e-taghayyur hote
jab ye khilte to koi chun chun kar
gundhta in ki laDi juDe mein
aur jab un pe KHizan aa jati
phenk deta main inhen kuDe mein

(584) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Naqli Phul written by Muneebur Rahman at UrduPoint. Naqli Phul is one of the masterpieces written by Muneebur Rahman. You can also find the complete poetry collection of Muneebur Rahman by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneebur Rahman' above.

Naqli Phul is a widely read Urdu Nazam. If you like Naqli Phul, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.