DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain, Urdu Ghazal By Muneer Bhopali

DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Bhopali. DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈھونڈ لیں ہم کو ہماری جو خبر رکھتے ہیں

منیر بھوپالی

ڈھونڈ لیں ہم کو ہماری جو خبر رکھتے ہیں

ہم کو دیکھیں وہ اگر حسن نظر رکھتے ہیں

واقف راہ ہیں منزل کی خبر رکھتے ہیں

کچھ سمجھ سوچ کے ہم عزم سفر رکھتے ہیں

آنکھ کو وقف سر راہ گزر رکھتے ہیں

خاک ہونے کے لیے ذوق نظر رکھتے ہیں

عشق اور عشق میں اک شان اثر رکھتے ہیں

حسن کی آنکھ محبت کی نظر رکھتے ہیں

اب وہ آنکھوں سے سمجھ لیتے ہیں حسرت دل کی

چشم بد دور نگاہوں پہ نظر رکھتے ہیں

ان کے جلوؤں کی حقیقت تو انہیں سے پوچھو

ہم تو بجلی کے چمکنے کی خبر رکھتے ہیں

اک کشش ہے کہ جو کھنچے لیے جاتی ہے ہمیں

ورنہ دیوانے بھی منزل کی خبر رکھتے ہیں

دوراندیشیٔ الفت نے کیا ہے محتاط

ہم نگاہوں میں تری راہ گزر رکھتے ہیں

ایک مرکز پہ سمٹ آئی ہے دنیائے جمال

کس کی تصویر کو ہم پیش نظر رکھتے ہیں

دل لگی عشق کی ہے حسن کا سنجیدہ مذاق

ہم کو دھوکا ہے کہ ہم درد جگر رکھتے ہیں

دیکھ لیں گے ترے جلوے بھی جو فرصت ہوگی

ہم ابھی دل کی تجلی پہ نظر رکھتے ہیں

ادب حسن ہے ورنہ یہ محبت والے

سحر آنکھوں میں خیالوں میں اثر رکھتے ہیں

آج کس بزم میں لے آئی ہے تقدیر منیرؔ

کہ فرشتے بھی مرے سامنے سر رکھتے ہیں

منیر بھوپالی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain

Muneer Bhopali

DhunD len hum ko hamari jo KHabar rakhte hain
hum ko dekhen wo agar husn-e-nazar rakhte hain

waqif-e-rah hain manzil ki KHabar rakhte hain
kuchh samajh soch ke hum azm-e-safar rakhte hain

aankh ko waqf-e-sar-e-rahguzar rakhte hain
KHak hone ke liye zauq-e-nazar rakhte hain

ishq aur ishq mein ek shan-e-asar rakhte hain
husn ki aankh mohabbat ki nazar rakhte hain

ab wo aankhon se samajh lete hain hasrat dil ki
chashm-e-bad-dur nigahon pe nazar rakhte hain

un ke jalwon ki haqiqat to unhin se puchho
hum to bijli ke chamakne ki KHabar rakhte hain

ek kashish hai ki jo khinche liye jati hai hamein
warna diwane bhi manzil ki KHabar rakhte hain

dur-andeshi-e-ulfat ne kiya hai mohtat
hum nigahon mein teri rahguzar rakhte hain

ek markaz pe simaT aai hai duniya-e-jamal
kis ki taswir ko hum pesh-e-nazar rakhte hain

dil-lagi ishq ki hai husn ka sanjida mazaq
hum ko dhoka hai ki hum dard-e-jigar rakhte hain

dekh lenge tere jalwe bhi jo fursat hogi
hum abhi dil ki tajalli pe nazar rakhte hain

adab-e-husn hai warna ye mohabbat wale
sehr aankhon mein KHayalon mein asar rakhte hain

aaj kis bazm mein le aai hai taqdir 'munir'
ki farishte bhi mere samne sar rakhte hain

(388) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain written by Muneer Bhopali at UrduPoint. DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain is one of the masterpieces written by Muneer Bhopali. You can also find the complete poetry collection of Muneer Bhopali by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Bhopali' above.

DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.