Nazm Ki KhiDki Suni Hai, Urdu Nazam By Muneer Jafri

Nazm Ki KhiDki Suni Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Muneer Jafri. Nazm Ki KhiDki Suni Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Nazm Ki KhiDki Suni Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نظم کی کھڑکی سونی ہے

منیر جعفری

نظم کوئی دوشیزہ ہوگی

ہمسائے کے گھر آ کر مہمان بنی ہے

رات کے کھانے کی دعوت کا سوچ رہا ہوں

شاید یہ آواز نہیں ہے

سرگوشی کے لیٹر بکس میں

دیر سے آنے والا خط ہے

نظم کوئی گندم کا خوشہ

جس کے رنگوں کا اندازہ

پھل پکنے پر ہوتا ہے

عجلت کا خمیازہ ہوگی

ہم نے وقت سے پہلے چل پڑنے کو

اپنا خاصہ مان کے غلطی کی

وہ عورت ہوگی

جس میں جسم کی عصر کے لمحے کی کیفیت

خواہش پر بھاری ہوتی ہیں

نظم پہاڑی ندی ہوگی

جس کے جذبوں کی لبریزی

اور تیزی کی خوشبو کو بھی

دور سے دیکھا جا سکتا ہے

ایسی ہوگی

ویسی ہوگی

کہہ سکتے ہیں

مفروضوں کے پھول کہیں بھی کھل سکتے ہیں

لیکن منظر نامے کی ناکامی پر

کیا کہتے ہو

ڈھلتی شام کے خالی بازو

دیکھ کے ایسا کیوں لگتا ہے

نظم کی کھڑکی سونی ہے

منیر جعفری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nazm Ki KhiDki Suni Hai

Muneer Jafri

nazm koi doshiza hogi
hamsae ke ghar aa kar mehman bani hai
raat ke khane ki dawat ka soch raha hun

shayad ye aawaz nahin hai
sargoshi ke letter box mein
der se aane wala KHat hai

nazm koi gandum ka KHosha
jis ke rangon ka andaza
phal pakne par hota hai

ujlat ka KHamyaza hogi
hum ne waqt se pahle chal paDne ko
apna KHasa man ke ghalati ki

wo aurat hogi
jis mein jism ki asr ke lamhe ki kaifiyat
KHwahish par bhaari hoti hain

nazm pahaDi nadi hogi
jis ke jazbon ki labrezi
aur tezi ki KHushbu ko bhi
dur se dekha ja sakta hai

aisi hogi
waisi hogi
kah sakte hain
mafruzon ke phul kahin bhi khil sakte hain
lekin manzar-name ki nakaami par
kya kahte ho
Dhalti sham ke KHali bazu
dekh ke aisa kyon lagta hai
nazm ki khiDki suni hai

(532) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nazm Ki KhiDki Suni Hai written by Muneer Jafri at UrduPoint. Nazm Ki KhiDki Suni Hai is one of the masterpieces written by Muneer Jafri. You can also find the complete poetry collection of Muneer Jafri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Jafri' above.

Nazm Ki KhiDki Suni Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Nazm Ki KhiDki Suni Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.