Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai, Urdu Ghazal By Muneer Shikohabadi

Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muneer Shikohabadi. Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

عمر باقی راہ جاناں میں بسر ہونے کو ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

عمر باقی راہ جاناں میں بسر ہونے کو ہے

آج اپنی سخت جانی سنگ در ہونے کو ہے

عالم پیری میں ہے داغ جوانی کا فروغ

یہ چراغ شام خورشید سحر ہونے کو ہے

آمد پیری میں غفلت ہے جوانی کی وہی

نیند سے آنکھیں نہیں کھلتیں سحر ہونے کو ہے

ہم کو رسوا کر کے رسوائی سے بچنا ہے محال

تو بھی تشہیر اے نگاہ فتنہ گر ہونے کو ہے

داغ عصیاں اک طرف اشک ندامت اک طرف

نوح کے طوفان سے جنگ شرر ہونے کو ہے

کون سی دھن ہو گئی دیکھیں دل صد پاش کو

یہ شکستہ ساز کس نغمہ کا گھر ہونے کو ہے

خلوت و کثرت میں مجھ سے پوچھتی ہے بیکسی

اس طرف ہو جاؤں میں بھی تو جدھر ہونے کو ہے

یوسف مضموں کو لائے فکر کہنہ اے منیرؔ

یہ زلیخا نوجواں بار دگر ہونے کو ہے

منیرؔ شکوہ آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai

Muneer Shikohabadi

umr baqi rah-e-jaanan mein basar hone ko hai
aaj apni saKHt-jaani sang-e-dar hone ko hai

aalam-e-piri mein hai dagh-e-jawani ka farogh
ye charagh-e-sham KHurshid-e-sahar hone ko hai

aamad-e-piri mein ghaflat hai jawani ki wahi
nind se aankhen nahin khultin sahar hone ko hai

hum ko ruswa kar ke ruswai se bachna hai muhaal
tu bhi tashhir ai nigah-e-fitna-gar hone ko hai

dagh-e-isyan ek taraf ashk-e-nadamat ek taraf
nuh ke tufan se jang-e-sharar hone ko hai

kaun si dhun ho gai dekhen dil-e-sad-pash ko
ye shikasta saz kis naghme ka ghar hone ko hai

KHalwat o kasrat mein mujh se puchhti hai bekasi
us taraf ho jaun main bhi tu jidhar hone ko hai

yusuf-e-mazmun ko lae fikr-e-kuhna ai 'munir'
ye zuleKHa naujawan bar-e-digar hone ko hai

(626) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai written by Muneer Shikohabadi at UrduPoint. Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai is one of the masterpieces written by Muneer Shikohabadi. You can also find the complete poetry collection of Muneer Shikohabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muneer Shikohabadi' above.

Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Umr Baqi Rah-e-jaanan Mein Basar Hone Ko Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.