Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa, Urdu Ghazal By Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس نے مے پی کے سر بزم جو ساغر الٹا

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

اس نے مے پی کے سر بزم جو ساغر الٹا

ورق انجمن دہر سراسر الٹا

دیکھنے والے کو دنیا ہے سراپا تصویر

گو ہے آئینے میں عکس رخ دلبر الٹا

کر دیا آ کے چمن کو تہ و بالا کس نے

کوئی سیدھا ہے یہاں کوئی گل تر الٹا

ناز سے مجھ کو سر بزم جو ساقی نے دیا

ہاتھ تھرائے کچھ اس طرح کہ ساغر الٹا

اے خدا کیا یوں ہی آتی ہے کسی دوست کی یاد

آ گیا منہ کو کلیجہ دل مضطر الٹا

داد خواہان محبت کا یہ انبوہ کثیر

دل مرا دیکھ کے ہنگامۂ محشر الٹا

جس پہ کہ بیٹھ کے واعظ نے مذمت مے کی

مجلس وعظ میں رندوں نے وہ منبر الٹا

یا زمانے میں محبت کے فسانے ہیں غلط

یا مرا نقش وفا ہے مرے دل پر الٹا

تا کجا اے دل بیمار یہ راحت طلبی

عمر بھر جب سے بچھا پھر نہ یہ بستر الٹا

اٹھ گئی آج زمانے سے بساط الفت

بستر مرگ مرا اس نے یہ کہہ کر الٹا

اشک باریٔ شب ہجر کا کیا حال لکھوں

دیدۂ تر نے نظرؔ ایک سمندر الٹا

منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

us ne mai pi ke sar-e-bazm jo saghar ulTa
waraq-e-anjuman-e-dahr sarasar ulTa

dekhne wale ko duniya hai sarapa taswir
go hai aaine mein aks ruKH-e-dilbar ulTa

kar diya aa ke chaman ko tah-o-baala kis ne
koi sidha hai yahan koi gul-e-tar ulTa

naz se mujh ko sar-e-bazm jo saqi ne diya
hath tharrae kuchh is tarah ki saghar ulTa

ai KHuda kya yun hi aati hai kisi dost ki yaad
aa gaya munh ko kaleja dil-e-muztar ulTa

dad-KHwahan-e-mohabbat ka ye amboh-e-kasir
dil mera dekh ke hangama-e-mahshar ulTa

jis pe ki baiTh ke waiz ne mazammat mai ki
majlis-e-waz mein rindon ne wo mimbar ulTa

ya zamane mein mohabbat ke fasane hain ghalat
ya mera naqsh-e-wafa hai mere dil par ulTa

ta-kuja ai dil-e-bimar ye rahat-talabi
umr bhar jab se bichha phir na ye bistar ulTa

uTh gai aaj zamane se bisat-e-ulfat
bistar-e-marg mera us ne ye kah kar ulTa

ashk-bari-e-shab-e-hijr ka kya haal likhun
dida-e-tar ne 'nazar' ek samundar ulTa

(480) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

More Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Poetry

کیوں کہتے ہو کیا میری جفا کو نہیں دیکھا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Kyun Kahte Ho Kya Meri Jafa Ko Nahin Dekha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

یا دل ہے مرا یا ترا نقش کف پا ہے

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Ya Dil Hai Mera Ya Tera Naqsh-e-kaf-e-pa Hai

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

بننے لگے ہیں داغ ستارے خوشا نصیب (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Banne Lage Hain Dagh Sitare Khusha Nasib

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

سنتا ہوں کہ خرمن سے ہے بجلی کو بہت لاگ (ردیف .. ی)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Sunta Hun Ki Khirman Se Hai Bijli Ko Bahut Lag

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

ہجر میں ناشاد دنیا سے دل مضطر گیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Hijr Mein Nashad Duniya Se Dil-e-muztar Gaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

جو مدتوں میں کسی شوخ کا شباب آیا

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Jo Muddaton Mein Kisi Shokh Ka Shabab Aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

تم ایسے بے خبر بھی شاذ ہوں گے اس زمانے میں (ردیف .. ا)

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Tum Aise Be-khabar Bhi Shaz Honge Is Zamane Mein

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

صبح کو حشر بھی ہے کٹ گئی گر آج کی رات

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi - منشی نوبت رائے نظر لکھنوی

Subh Ko Hashr Bhi Hai Kat Gai Gar Aaj Ki Raat

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi Urdu Poetry

You can read Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi at UrduPoint. Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa is one of the masterpieces written by Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi' above.

Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Usne Mai Pi Ke Sar-e-bazm Jo Saghar UlTa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.