Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein, Urdu Ghazal By Munshi Shiv Parshad Wahbi

Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Munshi Shiv Parshad Wahbi. Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein comes under the Love category of Urdu Ghazal. You can read Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سمایا جب سے ہے وہ گلعذار آنکھوں میں

منشی شیو پرشاد وہبی

سمایا جب سے ہے وہ گلعذار آنکھوں میں

ہر ایک گل نظر آتا ہے خار آنکھوں میں

بتاؤ کس کا ہوا جام آرزو لبریز

کہ نشہ کا ہے ابھی تک خمار آنکھوں میں

یہ کس کے دید کی مشتاق ہے دم آخر

کہ میری روح کو ہے انتظار آنکھوں میں

جو چاہتے ہو عصا ٹیک کر اٹھے بیمار

لگاؤ سرمۂ دنبالہ دار آنکھوں میں

وہ رشک گل جو نہیں ہے ہمارے پہلو میں

برنگ خار سے فصل بہار آنکھوں میں

تمہاری دید کے سودے میں آ گیا سو بار

تڑپ تڑپ کے دل بے قرار آنکھوں میں

اسی سبب سے تو کھلتی نہیں ہے آنکھ مری

پھرا ہی کرتی ہے تصویر یار آنکھوں میں

میں دیکھتا نہیں بے وجہ سبزہ نوخیز

کبھی ہے سبزۂ خط کی بہار آنکھوں میں

مثال مردمک چشم ہے یہ مد نظر

رہیں حضور ہی لیل و نہار آنکھوں میں

دعا یہ رہتی ہے وہبیؔ کہ ان کے تلوے کا

لگاؤں سرمے کی صورت غبار آنکھوں میں

منشی شیو پرشاد وہبی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein

Munshi Shiv Parshad Wahbi

samaya jab se hai wo gul-ezar aankhon mein
har ek gul nazar aata hai KHar aankhon mein

batao kis ka hua jam-e-arzu labrez
ki nashshe ka hai abhi tak KHumar aankhon mein

ye kis ke did ki mushtaq hai dam-e-aKHir
ki meri ruh ko hai intizar aankhon mein

jo chahte ho asa Tek kar uThe bimar
lagao surma-e-dumbaala-dar aankhon mein

wo rashk-e-gul jo nahin hai hamare pahlu mein
ba-rang-e-KHar se fasl-e-bahaar aankhon mein

tumhaari did ke saude mein aa gaya sau bar
taDap taDap ke dil-e-be-qarar aankhon mein

isi sabab se to khulti nahin hai aankh meri
phira hi karti hai taswir-e-yar aankhon mein

main dekhta nahin be-wajah sabza-e-nau-KHez
kabhi hai sabza-e-KHat ki bahaar aankhon mein

misal-e-mardumak-e-chashm hai ye madd-e-nazar
rahen huzur hi lail-o-nahaar aankhon mein

dua ye rahti hai 'wahbi' ki un ke talwe ka
lagaun surme ki surat ghubar aankhon mein

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein written by Munshi Shiv Parshad Wahbi at UrduPoint. Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein is one of the masterpieces written by Munshi Shiv Parshad Wahbi. You can also find the complete poetry collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Munshi Shiv Parshad Wahbi' above.

Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Samaya Jab Se Hai Wo Gul-ezar Aankhon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.