Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai, Urdu Ghazal By Muztar Khairabadi

Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Muztar Khairabadi. Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فصل گل بھی ترس کے کاٹی ہے

مضطر خیرآبادی

فصل گل بھی ترس کے کاٹی ہے

عمر کانٹوں میں بس کے کاٹی ہے

میں نے رو کر گزار دی اے ابر

جیسے تو نے برس کے کاٹی ہے

ہو کے پابند الفت صیاد

زندگی بے‌ قفس کے کاٹی ہے

سوز الفت میں زندگی میں نے

غیر کا منہ جھلس کے کاٹی ہے

زندگی بھر رہے حسینوں میں

عمر پھولوں میں بس کے کاٹی ہے

اس نے کس ناز سے مری گردن

کمر شوق کس کے کاٹی ہے

اس کی حسرت ہے دید کے قابل

جس نے مضطرؔ ترس کے کاٹی ہے

مضطر خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai

Muztar Khairabadi

fasl-e-gul bhi taras ke kaTi hai
umr kanTon mein bas ke kaTi hai

main ne ro kar guzar di ai abr
jaise tu ne baras ke kaTi hai

ho ke paband-e-ulfat-e-sayyaad
zindagi be-qafas ke kaTi hai

soz-e-ulfat mein zindagi main ne
ghair ka munh jhulas ke kaTi hai

zindagi-bhar rahe hasinon mein
umr phulon mein bas ke kaTi hai

us ne kis naz se meri gardan
kamar-e-shauq kas ke kaTi hai

us ki hasrat hai did ke qabil
jis ne 'muztar' taras ke kaTi hai

(398) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai written by Muztar Khairabadi at UrduPoint. Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai is one of the masterpieces written by Muztar Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Muztar Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Muztar Khairabadi' above.

Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fasl-e-gul Bhi Taras Ke KaTi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.