Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai, Urdu Ghazal By Nadeem Fazli

Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nadeem Fazli. Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بصیرتوں کا نظر احترام کرتی ہے

ندیم فاضلی

بصیرتوں کا نظر احترام کرتی ہے

سماعتوں سے خموشی کلام کرتی ہے

خزاں کا راز جو آنکھوں پہ منکشف ہو جائے

تو زرد رت بھی بہاروں کا کام کرتی ہے

کہاں کا ظرف کہاں کا وقار یہ دنیا

نگاہ جیب پہ رکھ کر سلام کرتی ہے

ضرورتیں در شاہی پہ لے کے جاتی ہیں

مری انا مجھے اپنا غلام کرتی ہے

حصار سود و زیاں سے نکال دے یارب

یہ زندگی مرا جینا حرام کرتی ہے

بلند و پست سے پرواز ماورا ہے مری

یہ کائنات مجھے زیر دام کرتی ہے

خدا کا شکر کہ میں خود سے آشنا ہوں ندیمؔ

مری نگاہ مرا احترام کرتی ہے

ندیم فاضلی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai

Nadeem Fazli

basiraton ka nazar ehtiram karti hai
samaaton se KHamoshi kalam karti hai

KHizan ka raaz jo aankhon pe munkashif ho jae
to zard rut bhi bahaaron ka kaam karti hai

kahan ka zarf kahan ka waqar ye duniya
nigah jeb pe rakh kar salam karti hai

zaruraten dar-e-shahi pe le ke jati hain
meri ana mujhe apna ghulam karti hai

hisar-e-sud-o-ziyan se nikal de ya-rab
ye zindagi mera jina haram karti hai

buland-o-past se parwaz mawara hai meri
ye kaenat mujhe zer-e-dam karti hai

KHuda ka shukr ki main KHud se aashna hun 'nadim'
meri nigah mera ehtiram karti hai

(339) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai written by Nadeem Fazli at UrduPoint. Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai is one of the masterpieces written by Nadeem Fazli. You can also find the complete poetry collection of Nadeem Fazli by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nadeem Fazli' above.

Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Basiraton Ka Nazar Ehtiram Karti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.