Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum, Urdu Ghazal By Naseem Dehlvi

Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Dehlvi. Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دیکھ او قاتل بسر کرتے ہیں کس مشکل سے ہم

نسیم دہلوی

دیکھ او قاتل بسر کرتے ہیں کس مشکل سے ہم

چارہ گر سے درد نالاں درد سے دل دل سے ہم

ہائے کیا بے خود کیا ہے غفلت امید نے

حال دل کہتے ہیں اپنا پھر اسی قاتل سے ہم

رشک اعدا نے کیے روشن بدن میں استخواں

شمع محفل ہو کے اٹھے آپ کی محفل سے ہم

اس کو کہتے ہیں وفاداری کہ بعد از قتل بھی

داغ‌ خوں ہو کر نہ چھوٹے دامن قاتل سے ہم

طول تھی راہ عدم گھبرا کے سوئے قبر میں

پاؤں پھیلائے تھکے جب دورئ منزل سے ہم

جسم روشن سے نظر آتے ہیں جلوے روح کے

حسن لیلیٰ دیکھتے ہیں پردۂ محمل سے ہم

خالی از احساں نہیں یہ بھی کہ وقت اضطراب

خوش تو ہو جاتے ہیں تیرے وعدۂ باطل سے ہم

آؤ آپس میں سمجھ لیں غیر کاہے کو سنے

تم کہو دل سے ہمارے کچھ تمہارے دل سے ہم

سن کے رو دیتے ہیں اکثر صورت زخم جگر

آپ شرماتے ہیں اپنے خندۂ باطل سے ہم

رشک ہے حسرت پہ اس کی دل میں آتا ہے یہی

اپنے قالب کو بدل لیں قالب بسمل سے ہم

سینۂ دل میں ہجوم داغ حسرت ہے نسیمؔ

پھول چن لیتے ہیں اپنے گلشن حاصل سے ہم

نسیم دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum

Naseem Dehlvi

dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
chaaragar se dard-e-nalan dard se dil dil se hum

hae kya be-KHud kiya hai ghaflat-e-umid ne
haal-e-dil kahte hain apna phir usi qatil se hum

rashk aada ne kiye raushan badan mein ustuKHwan
sham-e-mahfil ho ke uTThe aap ki mahfil se hum

is ko kahte hain wafadari ki baad-az-qatl bhi
dagh-e-KHun ho kar na chhuTe daman-e-qatil se hum

tul thi rah-e-adam ghabra ke soe qabr mein
panw phailae thake jab duri-e-manzil se hum

jism-e-raushan se nazar aate hain jalwe ruh ke
husn-e-laila dekhte hain parda-e-mahmil se hum

KHali az ehsan nahin ye bhi ki waqt-e-iztirab
KHush to ho jate hain tere wada-e-baatil se hum

aao aapas mein samajh len ghair kahe ko sune
tum kaho dil se hamare kuchh tumhaare dil se hum

sun ke ro dete hain aksar surat-e-zaKHm-e-jigar
aap sharmate hain apne KHanda-e-baatil se hum

rashk hai hasrat pe us ki dil mein aata hai yahi
apne qalib ko badal len qalib-e-bismil se hum

sina-e-dil mein hujum-e-dagh-e-hasrat hai 'nasim'
phul chun lete hain apne gulshan-e-hasil se hum

(385) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum written by Naseem Dehlvi at UrduPoint. Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum is one of the masterpieces written by Naseem Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Dehlvi' above.

Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dekh O Qatil Basar Karte Hain Kis Mushkil Se Hum, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.