Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab, Urdu Ghazal By Naseem Dehlvi

Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Naseem Dehlvi. Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جتنے قصے ہیں مرے شکوۂ بیداد ہیں سب

نسیم دہلوی

جتنے قصے ہیں مرے شکوۂ بیداد ہیں سب

ذکر کاہے کو ہیں افسانۂ فریاد ہیں سب

للہ الحمد کہ میں رنج فراموش نہیں

جو ستم تم نے کیے ہیں وہ مجھے یاد ہیں سب

جس طرف دیکھیے دو تین پھڑکتے ہیں اسیر

کیوں نہ صیاد خوشی ہو قفس آباد ہیں سب

خواست گاران قضا ہیں تہ خنجر بے تاب

شائق حسن اجازت ترے جلاد ہیں سب

ان کو تکلیف رسانی کی عبث ہے تعلیم

نالہ و آہ و فغاں تیرے ستم زاد ہیں سب

پھوٹ جائے جو پھپھولا تو رواں ہوں آنسو

اشک اے جان جہاں آبلہ بنیاد ہیں سب

طوق و زنجیر کے خواہاں ہیں ترے دیوانے

روز و شب منتظر خدمت حداد ہیں سب

کفر و اسلام برابر ہیں زمان رحمت

حسن جتنے ہیں زمانے میں خدا داد ہیں سب

تا کجا کاوش صیاد اجل ہے نزدیک

ایک دن اس قفس جسم سے آزاد ہیں سب

اب یہ حالت ہے کہ دشمن بھی دعا دیتے ہیں

دست برداشتہ میرے لیے جلاد ہیں سب

ناتواں وہ ہوں کہ ہر بال وبال جاں ہے

ضعف سے موئے بدن خنجر فولاد ہیں سب

سخت جاں ہوں مری تسکیں کو بتا دے قاتل

کس قدر گھر میں ترے خنجر فولاد ہیں سب

میں ہوا قیس ہوا وامق بیچارہ ہوا

دل گرفتار ہیں سب عاشق ناشاد ہیں سب

عاشق و وحشی و دیوانہ و رسوا کہہ کے

جس طرح چاہے بلا تیرے ہی ارشاد ہیں سب

آمد آمد ہے مگر میرے سہی قامت کی

باغ میں ہر طرف استادہ جو شمشاد ہیں سب

ایک سے ایک نرالا ہے زمانے میں حسیں

جلوۂ نور الٰہی یہ پری زاد ہیں سب

تیری آنکھوں کے جو مضمون لکھے ہیں میں نے

حرف جتنے نظر آتے ہیں مجھے صاد ہیں سب

دور تک تیری گزر گاہ جفا ہے او ترک

ہفت افلاک مرے مسکن فریاد ہیں سب

اپنے اشعار کا آتش نے دیا آپ جواب

معترض ہو جیے تو قابل ایراد ہیں سب

راست کہتا ہوں یہ میں ناسخؔ و سوداؔ و نسیمؔ

اپنے انداز میں بے مثل ہیں استاد ہیں سب

نسیم دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab

Naseem Dehlvi

jitne qisse hain mere shikwa-e-bedad hain sab
zikr kahe ko hain afsana-e-faryaad hain sab

lillah al-hamd ki main ranj-faramosh nahin
jo sitam tum ne kiye hain wo mujhe yaad hain sab

jis taraf dekhiye do tin phaDakte hain asir
kyun na sayyaad KHushi ho qafas aabaad hain sab

KHwast-garan-e-qaza hain tah-e-KHanjar be-tab
shaeq-e-husn-e-ijazat tere jallad hain sab

un ko taklif-risani ki abas hai talim
nala-o-ah-o-fughan tere sitam-zad hain sab

phuT jae jo phaphola to rawan hon aansu
ashk ai jaan-e-jahan aabla-buniyaad hain sab

tauq-o-zanjir ke KHwahan hain tere diwane
roz-o-shab muntazir-e-KHidmat-e-haddad hain sab

kufr-o-islam barabar hain zaman-e-rahmat
husn jitne hain zamane mein KHuda-dad hain sab

ta-kuja kawish-e-sayyaad ajal hai nazdik
ek din is qafas-e-jism se aazad hain sab

ab ye haalat hai ki dushman bhi dua dete hain
dast-bardashta mere liye jallad hain sab

na-tawan wo hun ki har baal wabaal-e-jaan hai
zoaf se mu-e-badan KHanjar-e-faulad hain sab

saKHt jaan hun meri taskin ko bata de qatil
kis qadar ghar mein tere KHanjar-e-faulad hain sab

main hua qais hua wamiq-e-bechaara hua
dil-giraftar hain sab aashiq-e-nashad hain sab

aashiq-o-wahshi-o-diwana-o-ruswa kah ke
jis tarah chahe bula tere hi irshad hain sab

aamad aamad hai magar mere sahi qamat ki
bagh mein har taraf istada jo shamshad hain sab

ek se ek nirala hai zamane mein hasin
jalwa-e-nur-e-ilahi ye pari-zad hain sab

teri aankhon ke jo mazmun likhe hain main ne
harf jitne nazar aate hain mujhe sad hain sab

dur tak teri guzargah-e-jafa hai o turk
haft-aflak mere maskan-e-fariyaad hain sab

apne ashaar ka aatish ne diya aap jawab
mo'tariz ho jiye to qabil-e-irad hain sab

rast kahta hun ye main 'nashiKH'-o-'sauda'-o-'nasim'
apne andaz mein be-misl hain ustad hain sab

(344) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab written by Naseem Dehlvi at UrduPoint. Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab is one of the masterpieces written by Naseem Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Naseem Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Naseem Dehlvi' above.

Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jitne Qisse Hain Mere Shikwa-e-bedad Hain Sab, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.