Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai, Urdu Ghazal By Navin Joshi

Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Navin Joshi. Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جسم مرا تھک کے بہت چور ہوا ہے

نوین جوشی

یہ جسم مرا تھک کے بہت چور ہوا ہے

کس کار مسلسل پہ یہ معمور ہوا ہے

وہ نیند ملی ہے کہ جو پوری نہیں ہوتی

وہ خواب ملا ہے کہ جو معذور ہوا ہے

جو خوف جراحت میں کھلا چھوڑ دیا تھا

وہ زخم موادوں بھرا ناسور ہوا ہے

اک بار اگر سانحہ میں سود جو دیکھا

پھر ذوق حوادث بڑا بھرپور ہوا ہے

کچھ وقت ذرا اور نہر دودھ کی لے گی

فرہاد کو تیشہ نہیں منظور ہوا ہے

جو ہم سے یہ کہتے تھے روایت نہیں اس کی

اب ان کے ہی کہنے پہ یہ دستور ہوا ہے

اب مصلحتاً ہی ہوا پیدا کوئی موسیٰ

اب مصلحتاً کوہ کوئی طور ہوا ہے

نوین جوشی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai

Navin Joshi

ye jism mera thak ke bahut chur hua hai
kis kar-e-musalsal pe ye mamur hua hai

wo nind mili hai ki jo puri nahin hoti
wo KHwab mila hai ki jo mazur hua hai

jo KHauf-e-jarahat mein khula chhoD diya tha
wo zaKHm mawadon bhara nasur hua hai

ek bar agar saneha mein sud jo dekha
phir zauq-e-hawadis baDa bharpur hua hai

kuchh waqt zara aur nahr dudh ki legi
farhad ko tesha nahin manzur hua hai

jo hum se ye kahte the riwayat nahin is ki
ab un ke hi kahne pe ye dastur hua hai

ab maslahatan hi hua paida koi musa
ab maslahatan koh koi tur hua hai

(540) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai written by Navin Joshi at UrduPoint. Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai is one of the masterpieces written by Navin Joshi. You can also find the complete poetry collection of Navin Joshi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Navin Joshi' above.

Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Jism Mera Thak Ke Bahut Chur Hua Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.