Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath, Urdu Ghazal By Nazm Tabatabai

Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nazm Tabatabai. Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یوں تو نہ تیرے جسم میں ہیں زینہار ہاتھ

نظم طبا طبائی

یوں تو نہ تیرے جسم میں ہیں زینہار ہاتھ

دینے کے اے کریم مگر ہیں ہزار ہاتھ

انگڑائیوں میں پھیلتے ہیں بار بار ہاتھ

شیشہ کی سمت بڑھتے ہیں بے اختیار ہاتھ

ڈوبے ہیں ترک سعی سے افسوس تو یہ ہے

ساحل تھا ہاتھ بھر پہ لگاتے جو چار ہاتھ

آتی ہے جب نسیم تو کہتی ہے موج بحر

یوں آبرو سمیٹ اگر ہوں ہزار ہاتھ

درپئے ہیں میرے قتل کے احباب اور میں

خوش ہوں کہ میرے خون میں رنگتے ہیں یار ہاتھ

دامن کشاں چلی ہے بدن سے نکل کے روح

کھنچتے ہیں پھیلتے ہیں جو یوں بار بار ہاتھ

مٹتا نہیں نوشتۂ قسمت کسی طرح

پتھر سے سر کو پھوڑ کہ زانو پہ مار ہاتھ

ساقی سنبھالنا کہ ہے لبریز جام مے

لغزش ہے میرے پاؤں میں اور رعشہ دار ہاتھ

مطرب سے پوچھ مسئلہ جبر و اختیار

کیا تال سم پہ اٹھتے ہیں بے اختیار ہاتھ

میں اور ہوں علائق دنیا کے دام میں

میرا نہ ایک ہاتھ نہ اس کے ہزار ہاتھ

اے نظمؔ وصل میں بھی رہا تو نہ چین سے

دل کو ہوا قرار تو ہے بے قرار ہاتھ

نظم طبا طبائی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath

Nazm Tabatabai

yun to na tere jism mein hain zinhaar hath
dene ke ai karim magar hain hazar hath

angDaiyon mein phailte hain bar bar hath
shisha ki samt baDhte hain be-iKHtiyar hath

Dube hain tark-e-sai se afsos to ye hai
sahil tha hath bhar pe lagate jo chaar hath

aati hai jab nasim to kahti hai mauj-e-bahr
yun aabru sameT agar hon hazar hath

darpai hain mere qatl ke ahbab aur main
KHush hun ki mere KHun mein rangte hain yar hath

daman-kashan chali hai badan se nikal ke ruh
khinchte hain phailte hain jo yun bar bar hath

miTta nahin nawishta-e-qismat kisi tarah
patthar se sar ko phoD ki zanu pe mar hath

saqi sambhaalna ki hai labrez jam-e-mai
laghzish hai mere panw mein aur rasha-dar hath

mutrib se puchh masala-e-jabr-o-iKHtiyar
kya tal sam pe uThte hain be-iKHtiyar hath

main aur hun alaeq-e-duniya ke dam mein
mera na ek hath na us ke hazar hath

ai 'nazm' wasl mein bhi raha tu na chain se
dil ko hua qarar to hai be-qarar hath

(576) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath written by Nazm Tabatabai at UrduPoint. Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath is one of the masterpieces written by Nazm Tabatabai. You can also find the complete poetry collection of Nazm Tabatabai by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nazm Tabatabai' above.

Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Yun To Na Tere Jism Mein Hain Zinhaar Hath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.