Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta, Urdu Ghazal By Nizam Rampuri

Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Nizam Rampuri. Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ تو یوں ہی کہتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

نظام رامپوری

وہ تو یوں ہی کہتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

میرا یہ مقولہ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

کہہ جاتا ہے وہ صاف ہزاروں مجھے باتیں

پھر اس پہ یہ کہتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

اے دوستو اس شوخ کا میں کیا کہوں عالم

کچھ آج وہ دیکھا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

یوں غیر ستائیں مجھے اور کچھ نہ کہوں میں

منہ مجھ کو تمہارا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

ہر بات پہ کیا کیا ہمیں کہتا ہے وہ ظالم

گر کہیے تو کہتا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

بس اور کیا چاہتے ہو مجھ پہ ستم کیا

سوچو تو یہ تھوڑا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

کیا حال بنایا ہے غم غیر میں اپنا

وہ آپ کا نقشا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

جز میرے کسی اور کو تو آپ ستائیں

ہاں آپ نے سمجھا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

ایسا ہمیں کہتے ہو کہ بس جانتے ہیں ہم

یہ آپ کو دھوکا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

کیا کیا مجھے تم کہتے ہو انصاف تو کیجے

یہ حوصلہ میرا ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

دعویٰ کریں گو اور نظامؔ اپنے سخن پر

پر مجھ کو یہ دعویٰ ہے کہ میں کچھ نہیں کہتا

نظام رامپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta

Nizam Rampuri

wo to yunhi kahta hai ki main kuchh nahin kahta
mera ye maqula hai ki main kuchh nahin kahta

kah jata hai wo saf hazaron mujhe baaten
phir us pe ye kahta hai ki main kuchh nahin kahta

ai dosto us shoKH ka main kya kahun aalam
kuchh aaj wo dekha hai ki main kuchh nahin kahta

yun ghair sataen mujhe aur kuchh na kahun main
munh mujh ko tumhaara hai ki main kuchh nahin kahta

har baat pe kya kya hamein kahta hai wo zalim
gar kahiye to kahta hai ki main kuchh nahin kahta

bas aur kiya chahte ho mujh pe sitam kya
socho to ye thoDa hai ki main kuchh nahin kahta

kya haal banaya hai gham-e-ghair mein apna
wo aap ka naqsha hai ki main kuchh nahin kahta

juz mere kisi aur ko to aap sataen
han aap ne samjha hai ki main kuchh nahin kahta

aisa hamein kahte ho ki bas jaante hain hum
ye aap ko dhoka hai ki main kuchh nahin kahta

kya kya mujhe tum kahte ho insaf to kije
ye hausla mera hai ki main kuchh nahin kahta

dawa karen go aur 'nizam' apne suKHan par
par mujh ko ye dawa hai ki main kuchh nahin kahta

(365) ووٹ وصول ہوئے

You can read Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta written by Nizam Rampuri at UrduPoint. Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta is one of the masterpieces written by Nizam Rampuri. You can also find the complete poetry collection of Nizam Rampuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Nizam Rampuri' above.

Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo To Yunhi Kahta Hai Ki Main Kuchh Nahin Kahta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.