Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai, Urdu Ghazal By Noorul Hasan Noor

Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Noorul Hasan Noor. Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قصیدہ زلفوں کا جس جگہ پر چھڑا ہوا ہے

نور الحسن نور

قصیدہ زلفوں کا جس جگہ پر چھڑا ہوا ہے

وہاں پہ خوشبو کا شامیانہ لگا ہوا ہے

دریچۂ شب سے جھانکتا ہے یہ چاند کس کو

یہ کون بام جمال پر رونما ہوا ہے

نہ جانے اس کا چراغ ہے کیوں بجھا بجھا سا

نہ جانے اس کے شکوہ نخوت کو کیا ہوا ہے

کوئی تعلق کوئی تو رشتہ ضرور ہوگا

یہ آسماں جو زمیں کی جانب جھکا ہوا ہے

بتا رہی ہے خرام باد صبا کی مستی

گلاب شاخ ادا پہ کوئی کھلا ہوا ہے

اسے مروت کے خال و خد کیا دکھائی دیں گے

غبار نفرت سے شیشۂ دل اٹا ہوا ہے

اگرچہ سب کھڑکیاں ہیں برسوں سے بند لیکن

مکان میرا مکاں سے اس کے ملا ہوا ہے

خیال جن کا نہ ہو کے گزرا کسی کے دل سے

ہمارا ان ساعتوں سے بھی سامنا ہوا ہے

بہاریں آ آ کے نورؔ ہونٹوں کو چومتی ہیں

میان صحرا یہ کون نغمہ سرا ہوا ہے

نور الحسن نور

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai

Noorul Hasan Noor

qasida zulfon ka jis jagah par chhiDa hua hai
wahan pe KHushbu ka shamiyana laga hua hai

daricha-e-shab se jhankta hai ye chand kis ko
ye kaun baam-e-jamal par runuma hua hai

na jaane us ka charagh hai kyon bujha bujha sa
na jaane us ke shikoh-e-naKHwat ko kya hua hai

koi talluq koi to rishta zarur hoga
ye aasman jo zamin ki jaanib jhuka hua hai

bata rahi hai KHiram-e-baad-e-saba ki masti
gulab shaKH-e-ada pe koi khila hua hai

use murawwat ke KHal-o-KHad kya dikhai denge
ghubar-e-nafrat se shisha-e-dil aTa hua hai

agarche sab khiDkiyan hain barson se band lekin
makan mera makan se us ke mila hua hai

KHayal jin ka na ho ke guzra kisi ke dil se
hamara un saaton se bhi samna hua hai

bahaaren aa aa ke 'nur' honTon ko chumti hain
miyan-e-sahra ye kaun naghma-sara hua hai

(764) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai written by Noorul Hasan Noor at UrduPoint. Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai is one of the masterpieces written by Noorul Hasan Noor. You can also find the complete poetry collection of Noorul Hasan Noor by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Noorul Hasan Noor' above.

Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qasida Zulfon Ka Jis Jagah Par ChhiDa Hua Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.