Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai, Urdu Ghazal By Pandit Vidya Rattan Asi

Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Pandit Vidya Rattan Asi. Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غافل ہوں تری یاد سے ایسا تو نہیں ہے

پنڈت ودیا رتن عاصی

غافل ہوں تری یاد سے ایسا تو نہیں ہے

ہر وقت مرے دل میں تری یاد مکیں ہے

دنیائے محبت بڑی دل کش ہے حسیں ہے

ہر ایک کو راس آئے ضروری تو نہیں ہے

مانا کہ زمانے کا ہر اک نقش حسیں ہے

اس پر بھی زمانے میں کوئی تجھ سا نہیں ہے

اک عرض تمنا کے سوا ہم نے کیا کیا

کس بات پہ وہ شعلہ بدن چیں بہ جبیں ہے

کیا خاک ہو میرے دل بیتاب کا درماں

جب تجھ پہ تری چشم توجہ ہی نہیں ہے

دل میں ہے مگر جذبۂ اخلاص و محبت

وہ خود ہی کھنچے آئیں گے یہ میرا یقیں ہے

کیا کہئے محبت میں عجب حال ہے اپنا

نظریں ہیں کہیں اور تو دل اور کہیں ہے

رہ رہ کے کھٹکتا ہے جو ہر سانس میں پیہم

سینے میں کوئی خار ہے یا قلب حزیں ہے

اقرار وفا کر بھی چکیں تیری نگاہیں

افسوس ترے لب پہ مگر پھر بھی نہیں ہے

اس بت کا کوئی عہد بھی ایفا نہیں ہوتا

کیا اس کا یقیں جس کا نہ ایماں ہے نہ دیں ہے

کیا طرفہ قیامت ہے مری وجہ تباہی

وہ پوچھتے ہیں اور مجھے یاد نہیں ہے

شرمندۂ احساں میں نہیں راہنما کا

عاصیؔ مرا رہبر تو مرا عزم و یقیں ہے

پنڈت ودیا رتن عاصی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai

Pandit Vidya Rattan Asi

ghafil hun teri yaad se aisa to nahin hai
har-waqt mere dil mein teri yaad makin hai

duniya-e-mohabbat baDi dilkash hai hasin hai
har ek ko ras aae zaruri to nahin hai

mana ki zamane ka har ek naqsh hasin hai
is par bhi zamane mein koi tujh sa nahin hai

ek arz-e-tamanna ke siwa hum ne kiya kya
kis baat pe wo shoala-badan chin-ba-jabin hai

kya KHak ho mere dil-e-betab ka darman
jab tujh pe teri chashm-e-tawajjoh hi nahin hai

dil mein hai magar jazba-e-iKHlas-o-mohabbat
wo KHud hi khinche aaenge ye mera yaqin hai

kya kahiye mohabbat mein ajab haal hai apna
nazren hain kahin aur to dil aur kahin hai

rah rah ke khaTakta hai jo har sans mein paiham
sine mein koi KHar hai ya qalb-e-hazin hai

iqrar-e-wafa kar bhi chukin teri nigahen
afsos tere lab pe magar phir bhi nahin hai

is but ka koi ahd bhi ifa nahin hota
kya is ka yaqin jis ka na iman hai na din hai

kya turfa-qayamat hai meri wajh-e-tabahi
wo puchhte hain aur mujhe yaad nahin hai

sharminda-e-ehsan main nahin rah-numa ka
'asi' mera rahbar to mera azm-o-yaqin hai

(709) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai written by Pandit Vidya Rattan Asi at UrduPoint. Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai is one of the masterpieces written by Pandit Vidya Rattan Asi. You can also find the complete poetry collection of Pandit Vidya Rattan Asi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Pandit Vidya Rattan Asi' above.

Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ghafil Hun Teri Yaad Se Aisa To Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.