Ye Kaun Sa Shahr Hai, Urdu Nazam By Perwaiz Shaharyar

Ye Kaun Sa Shahr Hai is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Perwaiz Shaharyar. Ye Kaun Sa Shahr Hai comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Ye Kaun Sa Shahr Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کون سا شہر ہے

پرویز شہریار

حیران ہوں

یہ کون سا شہر ہے

میرؔ و غالبؔ کی دلی کبھی ایسی تو نہ تھی

ہر گلی ہر نکڑ پر سانپ کنڈلی مارے بیٹھے ہیں یہاں

پیدا ہوتے ہی کوئی بھی سنپولہ

ڈسنے کے لیے پر تولنے لگتا ہے

جدھر دیکھیے

ہر جگہ سانپ ہی سانپ ہیں

کہیں خونی دروازے کے عقب سے

تو کہیں دھولہ کنواں کے فلائی اوور پر

ہر جگہ کنڈلی مارے ہوئے یہاں

ہزارہا سانپ ایسے ہیں

جو ہر دم تیار بیٹھے ہیں

موقع ملتے ہی

وہ کسی بھی نرم و گداز بدن کو

نشانہ اپنا بنا لیتے ہیں

اپنے زہریلے دانت گاڑ نے کے لیے

جب وہ پھنپھنا کر باہر آتے ہیں

کسی بھی راہگیر کا رستہ روکے

ایک دم

تن کے کھڑے ہو جاتے ہیں

حتٰی کہ

بوڑھا ناگ بھی اب یہاں

اپنے کھنڈر میں تن کے کھڑا ہے

اسے بھی انتظار ہے

برسات کی اس کالی اندھیری رات کا ہے

جب وہ بو الہوس

اپنے کہنہ مشق دانتوں کو

کسی نرم و نازک غزالہ پر

تیز کر سکے حملۂ خوں ریز کر سکے

اپنی عمر کے اس آخری پڑاؤ میں وہ بو الہوس

کوئی واردات جنوں انگیز قیامت خیز کر سکے

یا خدا

یہ کون سا مقام ہے

کیا یہ تیرا قہر نہیں ہے

کیا یہ وہی پرانا شہر نہیں ہے

سوچتا ہوں

میرؔ و غالبؔ کی دلی کبھی ایسی تو نہ تھی

پرویز شہریار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaun Sa Shahr Hai

Perwaiz Shaharyar

hairan hun
ye kaun sa shahr hai
'mir'-o-'ghaalib' ki dilli kabhi aisi to na thi
har gali har nukkaD par sanp kunDli mare baiThe hain yahan
paida hote hi koi bhi sanpola
Dasne ke liye par tolne lagta hai
jidhar dekhiye
har jagah sanp hi sanp hain
kahin KHuni darwaze ke aqab se
to kahin dhaula-kuan ke fly ower par
har jagah kunDli mare hue yahan
hazar-ha sanp aise hain
jo har dam tayyar baiThe hain
mauqa milte hi
wo kisi bhi narm-o-gudaz badan ko
nishana apna bana lete hain
apne zahrile dant gaD ne ke liye
jab wo phanphana kar bahar aate hain
kisi bhi rahgir ka rasta roke
ek dam
tan ke khaDe ho jate hain
hatta ki
buDha nag bhi ab yahan
apne khanDar mein tan ke khaDa hai
use bhi intizar hai
barsat ki us kali andheri raat ka hai
jab wo bul-hawas
apne kohna-mashq danton ko
kisi narm-o-nazuk ghazala par
tez kar sake hamla-e-KHun-rez kar sake
apni umr ke is aaKHiri paDaw mein wo bul-hawas
koi wardat-e-junun-angez qayamat-KHez kar sake
ya KHuda
ye kaun sa maqam hai
kya ye tera qahr nahin hai
kya ye wahi purana shahr nahin hai
sochta hun
'mir'-o-'ghaalib' ki dilli kabhi aisi to na thi

(506) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaun Sa Shahr Hai written by Perwaiz Shaharyar at UrduPoint. Ye Kaun Sa Shahr Hai is one of the masterpieces written by Perwaiz Shaharyar. You can also find the complete poetry collection of Perwaiz Shaharyar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Perwaiz Shaharyar' above.

Ye Kaun Sa Shahr Hai is a widely read Urdu Nazam. If you like Ye Kaun Sa Shahr Hai, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.