KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi, Urdu Ghazal By Qaisar Azeez

KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qaisar Azeez. KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خیال و خواب کی دنیا بدل گیا کوئی

قیصر عزیز

خیال و خواب کی دنیا بدل گیا کوئی

حصار ذات سے باہر نکل گیا کوئی

حدیث دل کا بھی عنواں بدل گیا کوئی

ہمارے ساغر ہستی میں ڈھل گیا کوئی

بجھا نہ پائی اسے آنسوؤں کی بارش بھی

حسد کی آگ میں کچھ اتنا جل گیا کوئی

خزاں‌ بدوش بہاریں بھی مسکرانے لگیں

کسی کی یاد میں ایسے مچل گیا کوئی

ادائے خاص سے کہنے لگا وہ جام بکف

کہ گرتے گرتے یہاں پھر سنبھل گیا کوئی

بتا رہی ہیں یہ قیصرؔ دھوئیں کی تحریریں

پرائی آگ میں کیوں پھر سے جل گیا کوئی

قیصر عزیز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi

Qaisar Azeez

KHayal-o-KHwab ki duniya badal gaya koi
hisar-e-zat se bahar nikal gaya koi

hadis-e-dil ka bhi unwan badal gaya koi
hamare saghar-e-hasti mein Dhal gaya koi

bujha na pai use aansuon ki barish bhi
hasad ki aag mein kuchh itna jal gaya koi

KHizan-badosh bahaaren bhi muskurane lagin
kisi ki yaad mein aise machal gaya koi

ada-e-KHas se kahne laga wo jam-ba-kaf
ki girte girte yahan phir sanbhal gaya koi

bata rahi hain ye 'qaisar' dhuen ki tahriren
parai aag mein kyon phir se jal gaya koi

(370) ووٹ وصول ہوئے

You can read KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi written by Qaisar Azeez at UrduPoint. KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi is one of the masterpieces written by Qaisar Azeez. You can also find the complete poetry collection of Qaisar Azeez by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qaisar Azeez' above.

KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHayal-o-KHwab Ki Duniya Badal Gaya Koi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.