Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun, Urdu Ghazal By Qasim Ali Khan Afridi

Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qasim Ali Khan Afridi. Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس ارض کے تختہ پر سنسار ہے اور میں ہوں

قاسم علی خان آفریدی

اس ارض کے تختہ پر سنسار ہے اور میں ہوں

موہوم ہوا تو کیا پر یار ہے اور میں ہوں

پڑتی ہے نظر جیدھر وہ یار ہے اور میں ہوں

ہے کون سوا میرے دل دار ہے اور میں ہوں

میں یار کنے قاصد بھیجا تو ہے پر شاید

لے نامہ اگر آیا ریبار ہے اور میں ہوں

موڑوں گا نہیں منہ کو میں عشق کے میداں سے

اس یار کے ابرو کی تلوار ہے اور میں ہوں

اب دیکھیے کیا نبٹے سینہ ہے سپر اپنا

وہ خنجر مژگاں کا خوں خار ہے اور میں ہوں

جب سے بہ صنم خانہ کی میں نے قدم بوسی

سو طرح کی زاہد سے تکرار ہے اور میں ہوں

راہب نے مرے قشقہ صندل کا لگایا ہے

ناقوس ہے گھنٹہ ہے زنار ہے اور میں ہوں

نفع و ضرر دنیا دنیا ہی پہ میں چھوڑا

اب عشق کا اے یارو بیوپار ہے اور میں ہوں

حیراں میں ہوں اے یارو کس واسطے افریدیؔ

رسوائی بہ ہر کوچہ بازار ہے اور میں ہوں

قاسم علی خان آفریدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun

Qasim Ali Khan Afridi

is arz ke taKHte par sansar hai aur main hun
mauhum hua to kya par yar hai aur main hun

paDti hai nazar jidhar wo yar hai aur main hun
hai kaun siwa mere dildar hai aur main hun

main yar kane qasid bheja to hai par shayad
le nama agar aaya ribar hai aur main hun

moDunga nahin munh ko main ishq ke maidan se
is yar ke abru ki talwar hai aur main hun

ab dekhiye kya nibTe sina hai sipar apna
wo KHanjar-e-mizhgan ka KHun-KHar hai aur main hun

jab se ba-sanam-KHana ki main ne qadam-bosi
sau tarah ki zahid se takrar hai aur main hun

rahib ne mere qashqa sandal ka lagaya hai
naqus hai ghanTa hai zunnar hai aur main hun

naf-o-zarar-e-duniya duniya hi pe main chhoDa
ab ishq ka ai yaro bewpar hai aur main hun

hairan main hun ai yaro kis waste 'afridi'
ruswai ba-har kucha bazar hai aur main hun

(484) ووٹ وصول ہوئے

You can read Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun written by Qasim Ali Khan Afridi at UrduPoint. Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun is one of the masterpieces written by Qasim Ali Khan Afridi. You can also find the complete poetry collection of Qasim Ali Khan Afridi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qasim Ali Khan Afridi' above.

Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Is Arz Ke TaKHte Par Sansar Hai Aur Main Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.