Aaj Ki Raat, Urdu Nazam By Qazi Ghulam Mohammad

Aaj Ki Raat is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qazi Ghulam Mohammad. Aaj Ki Raat comes under the Love, Hope category of Urdu Nazam. You can read Aaj Ki Raat on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آج کی رات

قاضی غلام محمد

دیکھنا جلوۂ جاناں کا اثر آج کی رات

پھول ہی پھول ہیں تا حد نظر آج کی رات

رائیگاں جا نہ سکا آنکھ سے اس کا بہنا

رنگ لایا ہے مرا خون جگر آج کی رات

دامن شوق کو تھامے ہوئے ہیں شرم و حیا

دل دھڑکتا ہے بہ انداز دگر آج کی رات

حسن و تقدیس کی دلچسپ حکایت پڑھ کر

دھن رہا ہے دل حیرت زدہ سر آج کی رات

چاند اک مطلع انوار درخشاں ہی سہی

ایک تصویر ہے حیرت کی مگر آج کی رات

جلوۂ حسن کے اخراج کا عالم دیکھو

میری نظروں میں ہیں رقصاں سے شرر آج کی رات

جذبۂ شرم نے چھڑکاؤ کیا شبنم کا

رخ گلنار ہے اک شعلۂ تر آج کی رات

مئے الفت کا چھلکتا ہوا پیمانہ ہے

اس کی شرمیلی سی ترچھی سی نظر آج کی رات

یہ دعائے دل معصوم الوہی ہو قبول

تا قیامت رہے محروم سحر آج کی رات

قاضی غلام محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aaj Ki Raat

Qazi Ghulam Mohammad

dekhna jalwa-e-jaanan ka asar aaj ki raat
phul hi phul hain ta-hadd-e-nazar aaj ki raat
raegan ja na saka aankh se us ka bahna
rang laya hai mera KHun-e-jigar aaj ki raat
daman-e-shauq ko thame hue hain sharm-o-haya
dil dhaDakta hai ba-andaz-e-digar aaj ki raat
husn-o-taqdis ki dilchasp hikayat paDh kar
dhun raha hai dil-e-hairat-zada sar aaj ki raat
chand ek matla-e-anwar-e-daraKHshan hi sahi
ek taswir hai hairat ki magar aaj ki raat
jalwa-e-husn ke iKHraj ka aalam dekho
meri nazron mein hain raqsan se sharar aaj ki raat
jazba-e-sharm ne chhiDkaw kiya shabnam ka
ruKH-e-gulnar hai ek shoala-e-tar aaj ki raat
mai-e-ulfat ka chhalakta hua paimana hai
us ki sharmili si tirchhi si nazar aaj ki raat
ye dua-e-dil-e-masum uluhi ho qubul
ta-qayamat rahe mahrum sahar aaj ki raat

(756) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aaj Ki Raat written by Qazi Ghulam Mohammad at UrduPoint. Aaj Ki Raat is one of the masterpieces written by Qazi Ghulam Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ghulam Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ghulam Mohammad' above.

Aaj Ki Raat is a widely read Urdu Nazam. If you like Aaj Ki Raat, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.