Kirae Ka Makan, Urdu Nazam By Qazi Ghulam Mohammad

Kirae Ka Makan is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qazi Ghulam Mohammad. Kirae Ka Makan comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Kirae Ka Makan on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کرائے کا مکان

قاضی غلام محمد

عجب شے ہے کرائے کا مکاں بھی

مکاں بھی ہے یہ ظالم لا مکاں بھی

بڑی عجلت میں بنوایا گیا ہے

لئی سے چھت کو چپکایا گیا ہے

ہے واقع ایک نالی کے کنارے

میسر ہیں مجھے کیا کیا نظارے

نظیر ان کی جہان خواب میں ہے

بہاراں کی شب مہتاب میں ہے

نہ کیوں ہو جسم میرا رنج سے چور

فقط دو میل ہے یہ شہر سے دور

یہاں آب و ہوا کا مسخ چہرہ

ملا ہرگز نہ موقع دیکھنے کا

ہم آپس میں بہت گھل مل گئے ہیں

مجھے جیبوں میں چمگادڑ ملے ہیں

ہیں بام و در پہ یہ غارت گر ہوش

بہار بستر و نو روز آغوش

ہماری اب یہ حالت ہو گئی ہے

اندھیروں سے محبت ہو گئی ہے

یہاں دن کو بھی الو بولتے ہیں

مرے کانوں میں امرس گھولتے ہیں

جو دنیا میں ہیں یہ کیڑے مکوڑے

یہیں پل کر جواں ہوتے ہیں سارے

غبار آلود یوں میری جبیں ہے

کہیں سیڑھی کہیں کچھ بھی نہیں ہے

اسی سیڑھی کا ہے وہ واقعہ بھی

لڑھک کر مر گئی جو ساس میری

یہاں چوہوں کے بل اتنے بڑے ہیں

کئی ثابت قدم ان میں گرے ہیں

مجھے بھی دور کی اک روز سوجھی

کسی بل کو میں کھودوں جی میں آئی

جو کھودا چشم حیراں نے یہ دیکھا

کہ اک لیڈر نما موٹا سا چوہا

دبائے منہ میں اک خاصہ بتاشا

مرے موزے پہن کر جا رہا تھا

وہیں اک چوہیا آ نکلی کہیں سے

ٹپکتا ناز تھا اس کی جبیں سے

بسا تھا عطر میں ہر ریشہ اس کا

پرے تھا عرش سے اندیشہ اس کا

بہت بن ٹھن کے نکلی تھی بچاری

میاں چوہے نے فوراً آنکھ ماری

نگاہ غیر سے شرما گئی وہ

میاں چوہے سے پھر ٹکرا گئی وہ

ملے یوں طالب و مطلوب باہم

مجازی عشق کا لہرایا پرچم

غرض چوہے قیامت ڈھا رہے ہیں

در و دیوار پر منڈلا رہے ہیں

میں لایا تھا کہیں سے ایک بلی

پکڑ کر لے گئے چوہے اسے بھی

قاضی غلام محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kirae Ka Makan

Qazi Ghulam Mohammad

ajab shai hai kirae ka makan bhi
makan bhi hai ye zalim la-makan bhi
baDi ujlat mein banwaya gaya hai
lai se chhat ko chipkaya gaya hai
hai waqe ek nali ke kinare
mayassar hain mujhe kya kya nazare
nazir un ki jahan-e-KHwab mein hai
bahaaran ki shab-e-mahtab mein hai
na kyon ho jism mera ranj se chur
faqat do mil hai ye shahr se dur
yahan aab-o-hawa ka masKH chehra
mila hargiz na mauqa dekhne ka
hum aapas mein bahut ghul-mil gae hain
mujhe jebon mein chamgadaD mile hain
hain baam-o-dar pe ye ghaarat-gar-e-hosh
bahaar-e-bistar-o-nau-roz-e-aghosh
hamari ab ye haalat ho gai hai
andheron se mohabbat ho gai hai
yahan din ko bhi ullu bolte hain
mere kanon mein amras gholte hain
jo duniya mein hain ye kiDe-makoDe
yahin pal kar jawan hote hain sare
ghubar-alud yun meri jabin hai
kahin siDhi kahin kuchh bhi nahin hai
isi siDhi ka hai wo waqia bhi
luDhak kar mar gai jo sas meri
yahan chuhon ke bil itne baDe hain
kai sabit qadam in mein gire hain
mujhe bhi dur ki ek roz sujhi
kisi bil ko main khodun ji mein aai
jo khoda chashm-e-hairan ne ye dekha
ki ek leader numa moTa sa chuha
dabae munh mein ek KHasa batasha
mere moze pahan kar ja raha tha
wahin ek chuhiya aa nikli kahin se
Tapakta naz tha us ki jabin se
basa tha itr mein har resha us ka
pare tha arsh se andesha us ka
bahut ban-Than ke nikli thi bichaari
miyan chuhe ne fauran aankh mari
nigah-e-ghair se sharma gai wo
miyan chuhe se phir Takra gai wo
mile yun talib-o-matlub baham
majazi ishq ka lahraya parcham
gharaz chuhe qayamat Dha rahe hain
dar-o-diwar par manDla rahe hain
main laya tha kahin se ek billi
pakaD kar le gae chuhe use bhi

(367) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kirae Ka Makan written by Qazi Ghulam Mohammad at UrduPoint. Kirae Ka Makan is one of the masterpieces written by Qazi Ghulam Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ghulam Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ghulam Mohammad' above.

Kirae Ka Makan is a widely read Urdu Nazam. If you like Kirae Ka Makan, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.