Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad, Urdu Ghazal By Qazi Ghulam Mohammad

Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qazi Ghulam Mohammad. Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی سنتا ہی نہیں ان کی صدا میرے بعد

قاضی غلام محمد

کوئی سنتا ہی نہیں ان کی صدا میرے بعد

ہائے کیا وقت اندھیروں پہ پڑا میرے بعد

وقت سے پہلے ہی اب اس کی سحر ہوتی ہے

ہوئی منسوخ شب غم کی سزا میرے بعد

غیر کو اس نے شب وصل میں ڈانٹا دو بار

مل گیا مجھ کو وفاؤں کا صلہ میرے بعد

کوئی جاتا نہیں بچوں کی قطاریں لے کر

ہسپتالوں میں وہ چرچا نہ رہا میرے بعد

ویٹ لفٹر کوئی مجھ سا نہ ہوا جو پیدا

کون اٹھائے گا ترے ناز بتا میرے بعد

خوں ہے دل خاک میں احوال بتاں پر یعنی

کس کا یہ جا کے دبائیں گے گلا میرے بعد

اپنی محرومیٔ قسمت پہ ہنسی آتی ہے

دودھ بازار میں خالص بھی بکا میرے بعد

میرے ماتم میں نہیں اپنی رقم کے غم میں

شہر کا بنیا سیہ پوش ہوا میرے بعد

ان کی تفریح کا سامان طرب تھا میں ہی

ڈاکٹر لوگ ہیں جینے سے خفا میرے بعد

رسم افلاس کی تہذیب تھی مجھ سے قائم

اٹھ گئی دہر سے جینے کی ادا میرے بعد

قاضی غلام محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad

Qazi Ghulam Mohammad

koi sunta hi nahin un ki sada mere baad
hae kya waqt andheron pe paDa mere baad

waqt se pahle hi ab us ki sahar hoti hai
hui mansuKH shab-e-gham ki saza mere baad

ghair ko us ne shab-e-wasl mein DanTa do bar
mil gaya mujh ko wafaon ka sila mere baad

koi jata nahin bachchon ki qataren le kar
haspatalon mein wo charcha na raha mere baad

weight lifter koi mujh sa na hua jo paida
kaun uThaega tere naz bata mere baad

KHun hai dil KHak mein ahwal-e-butan par yani
kis ka ye ja ke dabaenge gala mere baad

apni mahrumi-e-qismat pe hansi aati hai
dudh bazar mein KHalis bhi bika mere baad

mere matam mein nahin apni raqam ke gham mein
shahr ka baniya siyah-posh hua mere baad

un ki tafrih ka saman-e-tarab tha main hi
doctor log hain jine se KHafa mere baad

rasm-e-iflas ki tahzib thi mujh se qaem
uTh gai dahr se jine ki ada mere baad

(388) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad written by Qazi Ghulam Mohammad at UrduPoint. Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad is one of the masterpieces written by Qazi Ghulam Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ghulam Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ghulam Mohammad' above.

Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Sunta Hi Nahin Unki Sada Mere Baad, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.