Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai, Urdu Ghazal By Qazi Ghulam Mohammad

Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qazi Ghulam Mohammad. Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پابندئ اوقات دعا کس کے لیے ہے

قاضی غلام محمد

پابندئ اوقات دعا کس کے لیے ہے

راتوں کی عبادت کا صلہ کس کے لیے ہے

ہیں کس کے لیے مدھ بھری آنکھوں کے اشارے

گلنار سے ہونٹوں کی فضا کس کے لیے ہے

ہم لوگ دعا دیں گے تری زلف سیہ کو

معلوم ہو یہ شہر سبا کس کے لیے ہے

کیا نام ہے اس شخص جواں بخت کا اے دوست

خلوت کی یہ دھیمی سی صدا کس کے لیے ہے

خوابوں کے طرب زار میں یہ کون ملا تھا

تنہائی میں تو نغمہ سرا کس کے لیے ہے

آرائش و تزئیں کا خیال آیا ہے کب سے

ہاتھوں پہ یہ تحریر حنا کس کے لیے ہے

کون آئے گا خوابوں کے دھندلکوں سے ترے پاس

آنکھوں میں یہ پیغام وفا کس کے لیے ہے

اے پردہ نشیں شرم و حیا خوب ہے لیکن

آخر وہ تری شوخ ادا کس کے لیے ہے

اتنا تو بتا دے ترے معصوم سے دل میں

یہ محشر جذبات بپا کس کے لیے ہے

قاضی غلام محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai

Qazi Ghulam Mohammad

pabandi-e-auqat-e-dua kis ke liye hai
raaton ki ibaadat ka sila kis ke liye hai

hain kis ke liye madh-bhari aankhon ke ishaare
gulnar se honTon ki faza kis ke liye hai

hum log dua denge teri zulf-e-siyah ko
malum ho ye shahr-e-saba kis ke liye hai

kya nam hai us shaKHs-e-jawan-baKHt ka ai dost
KHalwat ki ye dhimi si sada kis ke liye hai

KHwabon ke tarab-zar mein ye kaun mila tha
tanhai mein tu naghma-sara kis ke liye hai

aaraish-o-tazin ka KHayal aaya hai kab se
hathon pe ye tahrir-e-hina kis ke liye hai

kaun aaega KHwabon ke dhundlakon se tere pas
aankhon mein ye paigham-e-wafa kis ke liye hai

ai parda-nashin sharm-o-haya KHub hai lekin
aaKHir wo teri shoKH ada kis ke liye hai

itna to bata de tere masum se dil mein
ye mahshar-e-jazbaat bapa kis ke liye hai

(423) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai written by Qazi Ghulam Mohammad at UrduPoint. Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai is one of the masterpieces written by Qazi Ghulam Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ghulam Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ghulam Mohammad' above.

Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Pabandi-e-auqat-e-dua Kis Ke Liye Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.